shajar pe baithe hue hain panchhi tanav men sab abhi shikari hain apne apne padav men sab mohabbaten ho rahi hain zakhmi kise khabar hai abhi hain masruf apne rishte chunav men sab nahin tum aise nahin ho jaisa ye padh rahe hain hamen pata hai qasida-khvan hain dabav men sab bana ke din bhar miri ayadat ko ik bahana namak lagane ko aate rahte hain ghaav men sab tumhare andar ke aadmi se nahin hain vaqif ye log baithe hue hain kaghhaz ki naav men sab shajar pe baithe hue hain panchhi tanaw mein sab abhi shikari hain apne apne padaw mein sab mohabbaten ho rahi hain zakhmi kise khabar hai abhi hain masruf apne rishte chunaw mein sab nahin tum aise nahin ho jaisa ye padh rahe hain hamein pata hai qasida-khwan hain dabaw mein sab bana ke din bhar meri ayaadat ko ek bahana namak lagane ko aate rahte hain ghaw mein sab tumhaare andar ke aadmi se nahin hain waqif ye log baithe hue hain kaghaz ki naw mein sab
Related Ghazal
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain
Varun Anand
63 likes
suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
65 likes
naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham
Jaun Elia
67 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Raziq Ansari.
Similar Moods
More moods that pair well with Raziq Ansari's ghazal.







