shauq raton ko hai darpai ki tapan ho jaun raqs-e-vahshat men uthun aur dhuan ho jaun saath agar bad-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yar ik bhatakti hui avaz-e-fughhan ho jaun ab ye ehsas ka aalam hai ki shayad kisi raat nafas-e-sard se bhi shoala-ba-jan ho jaun la surahi ki karun vahm-o-guman ghharq-e-sharab is se pahle ki main khud vahm-o-guman ho jaun vo tamasha huun hazaron mire aine hain ek aine se mushkil hai ayaan ho jaun shauq men zabt hai malhuz magar kya maalum kis ghadi be-khabar-e-sud-o-ziyan ho jaun aisa andaz-e-ghhazal ho ki zamane men 'zafar' daur-e-ainda ki qadron ka nishan ho jaun shauq raaton ko hai darpai ki tapan ho jaun raqs-e-wahshat mein uthun aur dhuan ho jaun sath agar baad-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yar ek bhatakti hui aawaz-e-fughan ho jaun ab ye ehsas ka aalam hai ki shayad kisi raat nafas-e-sard se bhi shoala-ba-jaan ho jaun la surahi ki karun wahm-o-guman gharq-e-sharab is se pahle ki main khud wahm-o-guman ho jaun wo tamasha hun hazaron mere aaine hain ek aaine se mushkil hai ayan ho jaun shauq mein zabt hai malhuz magar kya malum kis ghadi be-khabar-e-sud-o-ziyan ho jaun aisa andaz-e-ghazal ho ki zamane mein 'zafar' daur-e-ainda ki qadron ka nishan ho jaun
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sirajuddin Zafar.
Similar Moods
More moods that pair well with Sirajuddin Zafar's ghazal.







