ghazalKuch Alfaaz

siina dahak raha ho to kya chup rahe koi kyuun chikh chikh kar na gala chhil le koi sabit hua sukun-e-dil-o-jan kahin nahin rishton men dhundhta hai to dhunda kare koi tark-e-taalluqat koi masala nahin ye to vo rasta hai ki bas chal pade koi divar janta tha jise main vo dhuul thi ab mujh ko e'timad ki davat na de koi main khud ye chahta huun ki halat hon kharab mere khilaf zahr ugalta phire koi ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuchh qubul hai ye bhi qubul hai ki tujhe chhin le koi haan thiik hai main apni ana ka mariz huun akhir mire mizaj men kyuun dakhl de koi ik shakhs kar raha hai abhi tak vafa ka zikr kaash us zaban-daraz ka munh noch le koi sina dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun chikh chikh kar na gala chhil le koi sabit hua sukun-e-dil-o-jaan kahin nahin rishton mein dhundhta hai to dhunda kare koi tark-e-talluqat koi masala nahin ye to wo rasta hai ki bas chal pade koi diwar jaanta tha jise main wo dhul thi ab mujh ko e'timad ki dawat na de koi main khud ye chahta hun ki haalat hon kharab mere khilaf zahr ugalta phire koi ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuchh qubul hai ye bhi qubul hai ki tujhe chhin le koi han thik hai main apni ana ka mariz hun aakhir mere mizaj mein kyun dakhl de koi ek shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikr kash us zaban-daraaz ka munh noch le koi

Related Ghazal

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Eliya.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.