siyah raat nahin leti naam dhalne ka yahi to vaqt hai suraj tire nikalne ka yahan se guzre hain guzrenge ham se ahl-e-vafa ye rasta nahin parchhaiyon ke chalne ka kahin na sab ko samundar baha ke le jaae ye khel khatm karo kashtiyan badalne ka bigad gaya jo ye naqsha havas ke hathon se to phir kisi ke sambhale nahin sambhalne ka zamin ne kar liya kya tirgi se samjhauta khayal chhod chuke kya charaghh jalne ka siyah raat nahin leti nam dhalne ka yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka yahan se guzre hain guzrenge hum se ahl-e-wafa ye rasta nahin parchhaiyon ke chalne ka kahin na sab ko samundar baha ke le jae ye khel khatm karo kashtiyan badalne ka bigad gaya jo ye naqsha hawas ke hathon se to phir kisi ke sambhaale nahin sambhalne ka zamin ne kar liya kya tirgi se samjhauta khayal chhod chuke kya charagh jalne ka
Related Ghazal
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
More from Shahryar
tere vaade ko kabhi jhooth nahin samjhoonga aaj ki raat bhi darwaaza khula rakkhoonga dekhne ke li.e ik chehra bahut hota hai aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhoonga meri tanhaaii ki ruswaai ki manzil aayi vasl ke lamhe se main hijr ki shab badloonga shaam hote hi khulii sadkon ki yaad aati hai sochta roz hooñ main ghar se nahin nikloonga ta-ki mahfooz rahe mere qalam ki hurmat sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhoonga
Shahryar
6 likes
dil cheez kya hai aap mirii jaan leejie bas ek baar meraa kaha maan leejie is anjuman men aap ko aanaa hai baar baar deewar-o-dar ko ghaur se pahchaan leejie m aanaa ki doston ko nahin dosti ka paas lekin ye kya ki gair ka ehsaan leejie kahiye to aasmaañ ko zameen par utaar laayein mushkil nahin hai kuchh bhi agar thaan leejie
Shahryar
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahryar's ghazal.







