sula kar tez dharon ko kinaro tum na so jaana ravani zindagani hai to dharo tum na so jaana mujhe tum ko sunani hai mukammal dastan apni adhuri dastan sun kar sitaro tum na so jaana tumhare daere men zindagi mahfuz rahti hai nizam-e-bazm-e-hasti ke hisaro tum na so jaana tumhin se jagta hai dil men ehsas-e-rava-dari qayam-e-rabt-e-baham ke saharo tum na so jaana agar niind aa gai tum ko to chashme suukh jaenge kabhi ghhaflat men pad kar kohsaro tum na so jaana tumhin se bahr-e-hasti men ravan hai kashti-e-hasti agar sahil bhi so jaaen to dharo tum na so jaana sada-e-dard ki khatir tumhen 'kausar' ne chheda hai shikasta-saz ke bedar taaro tum na so jaana sula kar tez dhaaron ko kinaro tum na so jaana rawani zindagani hai to dhaaro tum na so jaana mujhe tum ko sunani hai mukammal dastan apni adhuri dastan sun kar sitaro tum na so jaana tumhaare daere mein zindagi mahfuz rahti hai nizam-e-bazm-e-hasti ke hisaro tum na so jaana tumhin se jagta hai dil mein ehsas-e-rawa-dari qayam-e-rabt-e-baham ke sahaaro tum na so jaana agar nind aa gai tum ko to chashme sukh jaenge kabhi ghaflat mein pad kar kohsaro tum na so jaana tumhin se bahr-e-hasti mein rawan hai kashti-e-hasti agar sahil bhi so jaen to dhaaro tum na so jaana sada-e-dard ki khatir tumhein 'kausar' ne chheda hai shikasta-saz ke bedar taro tum na so jaana
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Kausar Siwani.
Similar Moods
More moods that pair well with Kausar Siwani's ghazal.







