ta'na-zan tha har koi ham par dil-e-nadan samet ham ne chhoda shahr-e-rusvai dar-e-janan samet is qadar afsurda-khatir kaun mahfil se gaya har kisi ki aankh pur-nam hai dil-azaran samet jashn-e-maqtal tha bapa aur sirf bismil the hamin ham ne socha tha ki dekhenge ye din yaran samet ik faqih-e-shahr ko kya dosh diije jab sabhi mai-kade ke dushmanon men hon qadah-khvaran samet ye ra'unat ta-ba-kai ai dil-figaran dekhna ab girega turra-e-sultan sar-e-sultan samet vo to kya aate shab-e-hijran to kya katti 'faraz' bujh gaiin akhir ko sab sham'en charaghh-e-jan samet ta'na-zan tha har koi hum par dil-e-nadan samet hum ne chhoda shahr-e-ruswai dar-e-jaanan samet is qadar afsurda-khatir kaun mahfil se gaya har kisi ki aankh pur-nam hai dil-azaran samet jashn-e-maqtal tha bapa aur sirf bismil the hamin hum ne socha tha ki dekhenge ye din yaran samet ek faqih-e-shahr ko kya dosh dije jab sabhi mai-kade ke dushmanon mein hon qadah-khwaran samet ye ra'unat ta-ba-kai ai dil-figaran dekhna ab girega turra-e-sultan sar-e-sultan samet wo to kya aate shab-e-hijran to kya katti 'faraaz' bujh gain aakhir ko sab sham'en charagh-e-jaan samet
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
More from Ahmad Faraz
jo gair the vo isee baat par hamaare hue ki ham se dost bahut be-KHabar hamaare hue kise khabar vo mohabbat thii ya raqabat thii bahut se log tujhe dekh kar hamaare hue ab ik hujoom-e-shikasta-dilaan hai saath apne jinhen koi na mila hum-safar hamaare hue kisi ne gham to kisi ne mizaaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamaare hue bujha ke taq ki shamein na dekh taaron ko isee junoon men to barbaad ghar hamaare hue vo e'timaad kahaan se faraaz laayenge kisi ko chhod ke vo ab agar hamaare hue
Ahmad Faraz
9 likes
ajab junoon-e-masaafat men ghar se niklaa tha khabar nahin hai ki suraj kidhar se niklaa tha ye kaun phir se unhin raaston men chhod gaya abhii abhii to azaab-e-safar se niklaa tha ye teer dil men magar be-sabab nahin utara koi to harf lab-e-chaaragar se niklaa tha ye ab jo aag banaa shahar shahar faila hai yahii dhuaan mire deewar-o-dar se niklaa tha main raat toot ke roya to chain se soya ki dil ka zahar mirii chashm-e-tar se niklaa tha ye ab jo sar hain khameeda kulaah ki khaatir ye aib bhi to ham ahl-e-hunr se niklaa tha vo qais ab jise majnoon pukaarte hain faraaz tiri tarah koi deewaana ghar se niklaa tha
Ahmad Faraz
3 likes
us ko juda hue bhi zamaana bahut hua ab kya kahein ye qissa puraana bahut hua ham khuld se nikal to ga.e hain par ai KHuda itne se waqie ka fasana bahut hua ab ham hain aur saare zamaane ki dushmanius se zaraa sa rabt badhaana bahut hua ab kyoon zindagi pe mohabbat ko vaar den is aashiqi men jaan se jaana bahut hua ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho sakaa maana ki us se milnaa milaana bahut hua kya kya na ham KHaraab hue hain magar ye dil ai yaad-e-yaar teraa thikaana bahut hua kahtaa tha naasehon se mire munh na aaiyo phir kya tha ek huu ka bahaana bahut hua lo phir tire labon pe usii be-vafa ka zikr ahmad-'faraz tujh se kaha na bahut hua
Ahmad Faraz
8 likes
kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin
Ahmad Faraz
6 likes
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







