ghazalKuch Alfaaz

tanhai ki gali men havaon ka shor tha ankhon men so raha tha andhera thaka hua siine men jaise tiir sa paivast ho gaya tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha yuun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha har shakhs se main apna pata puchhta phira barson se chal raha hai koi mere saath saath hai kaun shakhs us se main ik baar puchhta dil men utar ke bujh gai yadon ki chandni ankhon men intizar ka suraj pighal gaya chhodi hai un ki chaah to ab lag raha hai yuun jaise main itne roz andheron men qaid tha main ne zara si baat kahi thi mazaq men tum ne zara si baat ko itna badha liya kamre men phailta raha cigarette ka dhuan main band khidkiyon ki taraf dekhta raha 'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log is shahr men to mere siva koi bhi na tha tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha aankhon mein so raha tha andhera thaka hua sine mein jaise tir sa paiwast ho gaya tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha yun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha har shakhs se main apna pata puchhta phira barson se chal raha hai koi mere sath sath hai kaun shakhs us se main ek bar puchhta dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chandni aankhon mein intizar ka suraj pighal gaya chhodi hai un ki chah to ab lag raha hai yun jaise main itne roz andheron mein qaid tha main ne zara si baat kahi thi mazaq mein tum ne zara si baat ko itna badha liya kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan main band khidkiyon ki taraf dekhta raha 'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log is shahr mein to mere siwa koi bhi na tha

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kafeel Aazar Amrohvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kafeel Aazar Amrohvi's ghazal.