tira kya kaam ab dil men gham-e-jaanaana aata hai nikal ai sabr is ghar se ki sahib-khaana aata hai nazar men teri aañkhen sar men sauda teri zulfon ka kaii pariyon ke saa.e men tira deewaana aata hai wafur-e-rehmat-e-baari hai may-khwaaron pe in rozon jidhar se abr uthata hai soo-e-may-khaana aata hai lagii dil ki bujaaye bekasi men kaun hai aisa magar ik giryaa-e-hasrat ki be-tabaana aata hai unhin se ghamze karti hai jo tujh par jaan dete hain ajal tujh ko bhi kitna naaz-e-maashooqaana aata hai pareshaani men ye aalam tiri zulfon ka dekha hai ki ik ik baal par qurbaan hone shaana aata hai chhalk jaata hai jaam-e-umr apna waaye-naakaami hamaare munh talak saaqi agar paimaana aata hai vo but hi meherbaan sab apna apna haal kahte hain lab-e-khaamosh tujh ko bhi koi afsaana aata hai tilism-e-taaza teraa saaya-e-deewar rakhta hai badalta hai pari ka bhes jo deewaana aata hai ye azmat rah ke zaahid in buton men ham ne paai hai ki kaaba ham ko lene ta-dar-e-may-khaana aata hai do-rangi se nahin khaali adam bhi soorat-e-hasti koi hoshyaar aata hai koi deewaana aata hai huma yuñ ustukhwaan-e-sokhta par mere girta hai tadap kar shama' par jaise koi parwaana aata hai udhar hain husn ki ghaaten idhar hain ishq ki baatein tujhe afsoon to mujh ko use pari afsaana aata hai kaleja haath se ahl-e-tama ke chaak hota hai sadaf-aasa agar mujh ko muyassar daana aata hai namak jallaad chhidka chahta hai mere zaKHmon par maze ka vaqt ab ai himmat-e-mardaana aata hai zabardasti ka dhadka vasl men tum ko samaaya hai kidhar ho hosh men aao koi aaya na aata hai ilaahi kis ki sham-e-husn se raushan hai ghar meraa ki ban jaata hai jugnoo aaj jo parwaana aata hai vo 'aashiq khaal-o-khat ka hooñ nazr-e-mor karta hooñ muyassar teesre din bhi jo mujh ko daana aata hai ameer aur aane vaala kaun hai gor-e-ghareeban par jo raushan shama' hoti hai to haan parwaana aata hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Ameer Minai
chup bhi ho bak raha hai kya waiz maghz rindon ka kha gaya waiz tere kehne se rind jaayenge ye to hai khaana-e-khuda waiz allah allah ye kibr aur ye ghuroor kya KHuda ka hai doosra waiz be-khata may-kashon pe chashm-e-ghazab hashr hone de dekhna waiz ham hain qaht-e-sharaab se beemaar kis marz ki hai tu davaa waiz rah chuka may-kade men saari umr kabhi may-khaane men bhi aa waiz hajw-e-may kar raha tha mimbar par ham jo pahunchen to pee gaya waiz dukht-e-raz ko bura mire aage phir na kehna kabhi suna waiz aaj karta hooñ wasf-e-may main ameer dekhooñ kahtaa hai is men kya waiz
Ameer Minai
0 likes
jab se bulbul tu ne do tinke li.e tootti hain bijliyaan in ke li.e hai jawaani KHud jawaani ka singaar saadgi gehna hai is sin ke li.e kaun veeraane men dekhega bahaar phool jungle men khile kin ke li.e saari duniya ke hain vo mere siva main ne duniya chhod dii jin ke li.e baagbaan kaliyaan hon halke rang ki bhejni hai ek kam-sin ke li.e sab haseen hain zaahidon ko na-pasand ab koi hoor aayegi in ke li.e vasl ka din aur itnaa mukhtasar din gine jaate the is din ke li.e subh ka sona jo haath aata ameer bhejte tohfa mo'azzin ke li.e
Ameer Minai
0 likes
ham lottay hain vo so rahe hain kya naaz-o-niyaaz ho rahe hain kya rang jahaan men ho rahe hain do hanste hain chaar ro rahe hain duniya se alag jo ho rahe hain takiyon men maze se so rahe hain pahunchee hai hamaari ab ye haalat jo hanste the vo bhi ro rahe hain tanhaa tah-e-khaak bhi nahin ham hasrat ke saath so rahe hain sote hain lahd men sone waale jo jaagte hain vo ro rahe hain arbaab-e-kamaal chal base sab sau men kahii ek do rahe hain palkon ki jhapak dikha ke ye but dil men nashtar chubho rahe hain mujh daagh-naseeb ki lahd par laale ka vo beej bo rahe hain peeri men bhi ham hazaar afsos bachpan ki neend sau rahe hain daaman se ham apne daagh-e-hasti aab-e-khanjar se do rahe hain men jaag raha hooñ e shab-e-gham par mire naseeb sau rahe hain roenge ha men rulaane waale doobenge vo jo dubo rahe hain ai hashr madine men na kar shor chup chup sarkaar sau rahe hain aaiine pe bhi kaddi nigaahen kis par ye itaab ho rahe hain bhari hai jo motiyon ka maala aath aath aañsu vo ro rahe hain dil cheen ke ho ga.e hain ghaafil fitne vo jaga ke sau rahe hain hai gair ke ghar jo in ki daawat ham jaan se haath dho rahe hain sad shukr khayal hai usii ka ham jis se lipt ke sau rahe hain ho jaayen na khushk daagh ke phool aañsu un ko bhigo rahe hain aayegi na phir ke umr-e-rafta ham muft men jaan kho rahe hain kya giryaa-e-be-asar se haasil is rone pe ham to ro rahe hain fariyaad ki naakhuda-e-kashti kashtii ko mirii dubo rahe hain kyuuñ karte hain gham-gusaar takleef aañsu mire munh ko dho rahe hain mehfil barkhast hai patange ruksat shamon se ho rahe hain hai koch ka vaqt aasmaañ par taare kahii naam ko rahe hain un ki bhi numood hai koi dam vo bhi na rahenge jo rahe hain duniya ka ye rang aur ham ko kuchh hosh nahin hai so rahe hain thehro dam-e-naz'a do ghadi aur do chaar nafs hi to rahe hain phool un ko pinhaa pinhaa ke aghyaar kaañte mire haq men bo rahe hain zaanoo pe ameer sar ko rakhe paharon guzre ki ro rahe hain
Ameer Minai
0 likes
teer par teer lagao tumhein dar kis ka hai seena kis ka hai mirii jaan jigar kis ka hai khauf-e-meezaan-e-qayaamat nahin mujh ko ai dost tu agar hai mire palle men to dar kis ka hai koi aata hai adam se to koi jaata hai sakht dono men KHuda jaane safar kis ka hai chhup raha hai qafas-e-tan men jo har taair-e-dil aankh khole hue shaheen-e-nazar kis ka hai naam-e-shaair na sahi she'r ka mazmoon ho khoob phal se matlab ha men kya kaam shajar kis ka hai said karne se jo hai taair-e-dil ke munkir ai kamaan-daar tire teer men par kis ka hai mirii hairat ka shab-e-wasl ye bais hai ameer sar b-zaanoo hooñ ki zaanoo pe ye sar kis ka hai
Ameer Minai
0 likes
main ro ke aah karunga jahaan rahe na rahe zameen rahe na rahe aasmaañ rahe na rahe rahe vo jaan-e-jahaan ye jahaan rahe na rahe makeen ki KHair ho ya rab makaan rahe na rahe abhii mazaar par ahbaab faatiha padh len phir is qadar bhi hamaara nishaan rahe na rahe KHuda ke vaaste kalmaa buton ka padh zaahid phir ikhtiyaar men ghaafil zabaan rahe na rahe khizaan to KHair se guzri chaman men bulbul ki bahaar aayi hai ab aashiyaan rahe na rahe chala to hooñ paye izhaar-e-dard-e-dil dekhooñ huzoor-e-yaar majaal-e-bayaan rahe na rahe ameer jama hain ahbaab dard-e-dil kah le phir iltifaat-e-dil-e-dostaan rahe na rahe
Ameer Minai
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ameer Minai.
Similar Moods
More moods that pair well with Ameer Minai's ghazal.







