tiri gaali mujh dil ko pyaari lage dua meri tujh man men bhari lage tadee qadr-e-aashiq ki bujhe sajan kisi saath agar tujh koon yaari lage bhula deve vo aish-o-aaraam sab jise zulf seen be-qaraari lage nahin tujh sa aur shokh ai man hiran tiri baat dil ko nyaari lage bhavaan teri shamsheer zulfaan kamand palak teri jaise kataari lage hue sarv bazaar daaman ka dekh agar gard-e-daaman kanaari lage na jaanoon tu saaqi tha kis bazm ka nayan teri mujh koon khumaari lage vahii qadr faaez ki jaane bahut jise ishq ka zakham kaari lage
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Faez Dehlvi
mujh paas kabhi vo qad-e-shamshaad na aaya is ghar mane vo dil-bar-e-ustaad na aaya gulshan mirii ankhiyaan men lage gulkhan-e-dozakh jo sair ko mujh saath pari-zaad na aaya saanjh aayi dio din bee hua fikr men aaKHir vo dil-bar-e-jaadugar-o-sayyaad na aaya aaya na hamn paas kiya va'da-khilaafi faaez ka kuchh ahvaal magar yaad na aaya
Faez Dehlvi
0 likes
mira mahboob sab ka man harn hai nazar kar dekh vo aahu nain hai nahin ab jag men waisa aur saajan mujhe soorat-shanaasi beech fan hai sabee deewane hain us mahlaqa ke magar vo dil-ruba jaadu nayan hai kare rask-e-gulistaan dil ko faaez mira saajan bahaar-e-anjuman hai
Faez Dehlvi
0 likes
be-sabab ham se judaai na karo mujh se 'aashiq se buraai na karo khaaksaaraan ko na kariye paamaal jag men phirao si khudaai na karo be-gunaahaan koon na kar daalo qatl aah koon teer-e-hawaai na karo ek dil tum se nahin hai raazi jag men har ik soon buraai na karo mahav hai faaez'-e-shaida tum parus se har lahza bakhaai na karo
Faez Dehlvi
0 likes
yaar meraa miyaan-e-gulshan hai ghark-e-khoon phool ta-b-daman hai dil lubhaata hai sab ka vo saajan dil-farebi men us ko kya fan hai taare jiun dar hai jis ke halka-b-gosh vo bina gosh subh-e-raushan hai us nazaare se sab shaheed hue vo nayan kya bala-e-rah-zan hai kya bayaañ kar sakoon main gat us ki faaez at khush-ada sireejan hai
Faez Dehlvi
0 likes
guftam ki mukh tira kya guftaa suraj soon behtar guftam ki kaan ka dar guftaa ki bah z akhtar guftam dehaan-o-ruyat guftaa ki guncha-o-gul guftam kapool ka khaal guftaa ki qurs-e-ambaar guftam ki chashm-e-jaadoo guftaa ki dono khanjar guftam dhadi labaan ki guft az aqeeq behtar guftam kapool tere guftaa ki barg-e-laala guftam ki bosa tujh lab guftaa ki bah z shakkar guftam ki bhounha teri guftaa hilaal dono guftam ki zulf teri guftaa ki sumbul-e-tar guftam gada hooñ teraa guftaa sahi munaasib guftam aseer tujh koon guftaa tamaam kishwar guftam ki qad tumhaara guftaa ki sarv-e-tannaaz guftam ki dil tira kya guftaa ki sakht patthar guftam ada-o-ghamza guftaa bala-e-jaan-ha guftam itaab-o-qahrat guftaa ki haul-e-mahshar guftam ki faaez aaya guftaa ki khair-maqdam guftam kujaast jaa-ash guftaa ki bar-sar-e-dar
Faez Dehlvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faez Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Faez Dehlvi's ghazal.







