ghazalKuch Alfaaz

teri tasveer hamesha hai mirii nazaron men ye sahoolat bhi ziyaada hai mirii nazaron men doosre ishq men nuksaan ka khadsha kam hai ye sadak usse kushaada hai mirii nazaron men roop dena hai koi dil ki udaasi ko mujhe doobti naav ka KHaaka hai mirii nazaron men is jagah aake thehar jaata hai manzar jaise aapke baad andhera hai mirii nazaron men us haveli se bahut gahra taalluq tha mira uskaa ek aur bhi rastaa hai mirii nazaron men main muhabbat ke khod-o-khaal se waqif to nahin apne maa baap ka KHaaka hai mirii nazaron men

Nadir Ariz0 Likes

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

nahin tha apna magar phir bhi apna apna laga kisi se mil ke bahut der baad achha laga tumhein laga tha main mar jaaunga tumhaare baghair batao phir tumhein meraa mazaak kaisa laga tijoriyon pe nazar aur log rakhte hain main aasmaan chura loonga jab bhi mauqa laga dikhaati hai bharii almaariyaan bade dil se bataati hai ki mohabbat men kiska kitna laga

Tehzeeb Hafi

94 likes

More from Nadir Ariz

kaise eimaan nahin laayenge ham tere sar ki kasam khayenge phool fekengen bas aane pe mere apne bazu nahin felaayenge itne barso ki judaai hai ki ab us..ko dekhenge to mar jaayenge

Nadir Ariz

3 likes

main use chaahne waalon men ghira chhod gaya yaanii us ped ko utna hi ghana chhod gaya cheezen girti gaiin raaste men fate thaile se chor ghaflat men thikaane ka pata chhod gaya waapas aane ko tasalli dii na seene se laga koi jaate hue darwaaza khula chhod gaya sirf aate hue qadmon ke nishaan milte hain KHud kahaan hai jo kinaare pe ghada chhod gaya saath rakha na palatne diya ghar ki jaanib koi kashtii ko jazeera se laga chhod gaya

Nadir Ariz

1 likes

dhundhlaa gaya hooñ door ke manzar men ja ke main pachta raha hooñ shahr se qasbe men aa ke main ab us kali pe sirf mira haq hai dosto lautaa hooñ haath ped ko pahle laga ke main shola diye ko zindagi dete hi bujh gaya manzar se hat gaya use manzar pe la ke main sahab yaqeen keejiye chori ki khoo nahin baagh aa gaya hooñ dost ki baaton men aa ke main us dar ke band hone ka badla liya hai dost jo bechta raha hooñ dariche banaa ke main

Nadir Ariz

1 likes

ped paudhe hain titliyan nahin hain kaisa qasba hai ladkiyaan nahin hain dekhkar paanv rakhna padta hai in pahaadon pe seedhiyaan nahin hain mere angoothe se khulega ye lock is tijori ki chaabiyaan nahin hain naav ka varna mas'ala nahin tha is jazeera pe lakdiyaan nahin hain baddua lag gaii hai kiski useus kalaaee men choodiyaan nahin hain baarish aayi to bheeg jaayenge pedon ke paas chhatriyaan nahin hain

Nadir Ariz

3 likes

bole to achha bura mehsoos ho uski khaamoshi se kya mehsoos ho is tarah deewaar par tasveer rakh aadmi baitha hua mehsoos ho daam munh maange milenge aur naqd qatl lekin haadsa mehsoos ho rakh liya akhbaar paison ki jagah taaki batua kuchh bhara mehsoos ho dekhna chaahoon use to har koi meri jaanib dekhta mehsoos ho paas jaane par khule pyaase pe ret door se paani khada mehsoos ho

Nadir Ariz

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nadir Ariz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nadir Ariz's ghazal.