ghazalKuch Alfaaz

thi abhi subh abhi shaam hui jaati hai zindagi gardish-e-ayyam hui jaati hai zindagi mohlat-e-taufiq-e-khum-ashami thi zindagi fursat-e-yak-jam hui jaati hai zindagi tair-e-sahra thi ba-shauq-e-parvaz zindagi said-e-tah-e-dam hui jaati hai zindagi daal rahi thi jo sitaron pe kamand ab tamasha-e-lab-e-bam hui jaati hai zindagi ye hai ki ba-in-hama-sauda-e-safar zindagi hasrat-e-yak-gam hui jaati hai zindagi ye hai ki jis ret pe jalte the qadam ab vahi bistar-e-aram hui jaati hai zindagi ye hai ki soya tha musafir thak kar so ke uttha hai to ab shaam hui jaati hai 'mazhari' fan ka taqaza hai ki likhiye kuchh aur ye ghhazal koshish-e-nakam hui jaati hai thi abhi subh abhi sham hui jati hai zindagi gardish-e-ayyam hui jati hai zindagi mohlat-e-taufiq-e-khum-ashami thi zindagi fursat-e-yak-jam hui jati hai zindagi tair-e-sahra thi ba-shauq-e-parwaz zindagi said-e-tah-e-dam hui jati hai zindagi dal rahi thi jo sitaron pe kamand ab tamasha-e-lab-e-baam hui jati hai zindagi ye hai ki ba-in-hama-sauda-e-safar zindagi hasrat-e-yak-gam hui jati hai zindagi ye hai ki jis ret pe jalte the qadam ab wahi bistar-e-aram hui jati hai zindagi ye hai ki soya tha musafir thak kar so ke uttha hai to ab sham hui jati hai 'mazhari' fan ka taqaza hai ki likhiye kuchh aur ye ghazal koshish-e-nakaam hui jati hai

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jameel Mazhari.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jameel Mazhari's ghazal.