tire ishq ki intiha chahta huun miri sadgi dekh kya chahta huun sitam ho ki ho vada-e-be-hijabi koi baat sabr-azma chahta huun ye jannat mubarak rahe zahidon ko ki main aap ka samna chahta huun zara sa to dil huun magar shokh itna vahi lan-tarani suna chahta huun koi dam ka mehman huun ai ahl-e-mahfil charaghh-e-sahar huun bujha chahta huun bhari bazm men raaz ki baat kah di bada be-adab huun saza chahta huun tere ishq ki intiha chahta hun meri sadgi dekh kya chahta hun sitam ho ki ho wada-e-be-hijabi koi baat sabr-azma chahta hun ye jannat mubarak rahe zahidon ko ki main aap ka samna chahta hun zara sa to dil hun magar shokh itna wahi lan-tarani suna chahta hun koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil charagh-e-sahar hun bujha chahta hun bhari bazm mein raaz ki baat kah di bada be-adab hun saza chahta hun
Related Ghazal
jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai
Ali Zaryoun
61 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi
Umair Najmi
68 likes
More from Allama Iqbal
apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main
Allama Iqbal
1 likes
khird ke paas khabar ke siva kuchh aur nahin tira ilaaj nazar ke siva kuchh aur nahin har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin giraa-baha hai to hifz-e-khu dii se hai warna guhar men aab-e-guhar ke siva kuchh aur nahin ragon men gardish-e-khoon hai agar to kya haasil hayaat soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin uroos-e-laala munaasib nahin hai mujh se hijaab ki main naseem-e-sehr ke siva kuchh aur nahin jise kasaad samjhte hain taajiraan-e-farang vo shay mata-e-hunar ke siva kuchh aur nahin badaa kareem hai iqbaal'-e-be-nava lekin ata-e-shola sharar ke siva kuchh aur nahin
Allama Iqbal
0 likes
dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai
Allama Iqbal
1 likes
na tu zameen ke li.e hai na aasmaañ ke li.e jahaan hai tere li.e tu nahin jahaan ke li.e ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khaar-o-khas ke li.e hai ye neestaan ke li.e maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chamanna sair-e-gul ke li.e hai na aashiyaan ke li.e rahega raavi o neel o furaat men kab tak tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke li.e nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-raah-daan ke li.e nigah buland sukhun dil-nawaz jaañ pur-soz yahii hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke li.e zaraa si baat thii andesha-e-ajm ne use badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke li.e mire guloo men hai ik naghma jibraail-aashob sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke li.e
Allama Iqbal
1 likes
gulzaar-e-hast-o-bood na begaana-waar dekh hai dekhne ki cheez ise baar baar dekh aaya hai tu jahaan men misaal-e-sharaar dekh dam de na jaa.e hasti-na-paayedaar dekh maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh khuli hain zauq-e-deed ne aañkhen tiri agar har raahguzaar men naqsh-e-kaf-e-pa-e-yaar dekh
Allama Iqbal
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







