ghazalKuch Alfaaz

tujh se hi kya vafa ki nahin khush-nigah chashm jitne safed-posh hain sab hain siyah-chashm us mehr-vash ke hone na de girya ru-ba-ru jab tak safed hove na manind-e-mah chashm andher hai dayar-e-mohabbat men ham-daman taqsir dil ki thahre kare jo gunah chashm donon makan ghhair se khali hain aa ke baith tere pasand khvah ye dil aae khvah chashm us ki shab-e-firaq men itna tu ro ki ho dariya-e-ashk men tiri kashti tabah chashm mujh ko jala ke khaak kya aur baha diya tum se to ye na thi mujhe ai ashk-o-ah chashm 'joshish' vo kaun sa hai jafa-kar jis par aaj munh par lahu male hue hai dad-khvah chashm tujh se hi kya wafa ki nahin khush-nigah chashm jitne safed-posh hain sab hain siyah-chashm us mehr-wash ke hone na de girya ru-ba-ru jab tak safed howe na manind-e-mah chashm andher hai dayar-e-mohabbat mein ham-daman taqsir dil ki thahre kare jo gunah chashm donon makan ghair se khali hain aa ke baith tere pasand khwah ye dil aae khwah chashm us ki shab-e-firaq mein itna tu ro ki ho dariya-e-ashk mein teri kashti tabah chashm mujh ko jala ke khak kya aur baha diya tum se to ye na thi mujhe ai ashk-o-ah chashm 'joshish' wo kaun sa hai jafa-kar jis par aaj munh par lahu male hue hai dad-khwah chashm

Related Ghazal

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Joshish Azimabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Joshish Azimabadi's ghazal.