ghazalKuch Alfaaz

tum bhatak jaao to kuchh zauq-e-safar aa jaega mukhtalif raston pe chalne ka hunar aa jaega main khala men dekhta rahta huun is ummid par ek din mujh ko achanak tu nazar aa jaega tez itna hi agar chalna hai tanha jaao tum baat puuri bhi na hogi aur ghar aa jaega ye makan girta hua jab chhod jaenge makin ik parinda baithne divar par aa jaega koi meri mukhbiri karta rahega aur phir jurm ki taftish karne be-khabar aa jaega ho gaya mitti agar mera pasina suukh kar dekhna mere darakhton par samar aa jaega bandagi men ishq si divangi paida karo ek dam 'asim' duaon men asar aa jaega tum bhatak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega mukhtalif raston pe chalne ka hunar aa jaega main khala mein dekhta rahta hun is ummid par ek din mujh ko achanak tu nazar aa jaega tez itna hi agar chalna hai tanha jao tum baat puri bhi na hogi aur ghar aa jaega ye makan girta hua jab chhod jaenge makin ek parinda baithne diwar par aa jaega koi meri mukhbiri karta rahega aur phir jurm ki taftish karne be-khabar aa jaega ho gaya mitti agar mera pasina sukh kar dekhna mere darakhton par samar aa jaega bandagi mein ishq si diwangi paida karo ek dam 'asim' duaon mein asar aa jaega

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

ghazal to sabko mee thii lag rahi thii magar naatik ko mirchi lag rahi thii tumhaare lab nahin choo men the jab tak mujhe har cheez kadvii lag rahi thii main jis din chhodne vaala tha us..ko vo us din sabse pyaari lag rahi thii

Zubair Ali Tabish

80 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Asim Wasti.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Asim Wasti's ghazal.