tum intizar ke lamhe shumar mat karna diye jalae na rakhna singar mat karna miri zaban ke mausam badalte rahte hain main aadmi huun mira e'tibar mat karna kiran se bhi hai ziyada zara miri raftar nahin hai aankh se mumkin shikar mat karna tumhen khabar hai ki taqat mira vasila hai tum apne aap ko be-ikhtiyar mat karna tumhare saath mire mukhtalif marasim hain miri vafa pe kabhi inhisar mat karna tumhen bataun ye duniya ghharaz ki duniya hai khulus dil men agar hai to pyaar mat karna milenge raah men 'asim' ko ham-safar kai aur vo aa raha hai magar intizar mat karna tum intizar ke lamhe shumar mat karna diye jalae na rakhna singar mat karna meri zaban ke mausam badalte rahte hain main aadmi hun mera e'tibar mat karna kiran se bhi hai ziyaada zara meri raftar nahin hai aankh se mumkin shikar mat karna tumhein khabar hai ki taqat mera wasila hai tum apne aap ko be-ikhtiyar mat karna tumhaare sath mere mukhtalif marasim hain meri wafa pe kabhi inhisar mat karna tumhein bataun ye duniya gharaz ki duniya hai khulus dil mein agar hai to pyar mat karna milenge rah mein 'asim' ko ham-safar kai aur wo aa raha hai magar intizar mat karna
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Asim Wasti.
Similar Moods
More moods that pair well with Asim Wasti's ghazal.







