tumko dekha to ye khayal aaya zindagi dhoop tum ghana saaya aaj phir dil ne ik tamannaa ki aaj phir dil ko hamne samjhaaya tum chale jaaoge to sochenge hamne kya khoya hamne kya paaya ham jise gunguna nahin sakte vaqt ne aisa geet kyun gaaya
Related Ghazal
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
More from Javed Akhtar
khula hai dar pa tira intizaar jaata raha khuloos to hai magar etibaar jaata raha kisi ki aankh men masti to aaj bhi hai vahii magar kabhi jo ha men tha khumaar jaata raha kabhi jo seene men ik aag thii vo sard hui kabhi nigaah men jo tha sharaar jaata raha ajab sa chain tha ham ko ki jab the ham bechain qaraar aaya to jaise qaraar jaata raha kabhi to meri bhi sunwaai hogii mehfil men main ye umeed li.e baar baar jaata raha
Javed Akhtar
2 likes
vo dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai zameen suraj ki ungliyon se fisal rahi hai jo mujh ko zinda jala rahe hain vo be-KHabar hain ki meri zanjeer dheere dheere pighal rahi hai main qatl to ho gaya tumhaari gali men lekin mire lahu se tumhaari deewaar gal rahi hai na jalne paate the jis ke choolhe bhi har savere suna hai kal raat se vo bastii bhi jal rahi hai main jaanta hooñ ki KHaamushi men hi maslahat hai magar yahii maslahat mire dil ko khal rahi hai kabhi to insaan zindagi ki karega izzat ye ek ummeed aaj bhi dil men pal rahi hai
Javed Akhtar
2 likes
saari hairat hai mirii saari ada us ki hai be-gunaahi hai mirii aur saza us ki hai mere alfaaz men jo rang hai vo us ka hai mere ehsaas men jo hai vo fazaa us ki hai she'r mere hain magar in men mohabbat us ki phool mere hain magar baad-e-saba us ki hai ik mohabbat ki ye tasveer hai do rangon men shauq sab meraa hai aur saari haya us ki hai ham ne kya us se mohabbat ki ijaazat li thii dil-shikan hi sahi par baat baja us ki hai ek mere hi siva sab ko pukaare hai koi main ne pahle hi kaha tha ye sadaa us ki hai KHoon se seenchi hai main ne jo zameen mar mar ke vo zameen ek sitam-gar ne kaha us ki hai us ne hi is ko ujaada hai ise lootaa hai ye zameen us ki agar hai bhi to kya us ki hai
Javed Akhtar
1 likes
nigal ga.e sab ki sab samundar zameen bachi ab kahii nahin hai bachaate ham apni jaan jis men vo kashtii bhi ab kahii nahin hai bahut dinon baa'd paai furqat to main ne KHud ko palat ke dekha magar main pahchaanta tha jis ko vo aadmi ab kahii nahin hai guzar gaya vaqt dil pe likh kar na jaane kaisi ajeeb baatein varq palatta hooñ main jo dil ke to saadgi ab kahii nahin hai vo aag barsi hai dopahar men ki saare manzar jhuls ga.e hain yahaañ savere jo taazgi thii vo taazgi ab kahii nahin hai tum apne qasbon men ja ke dekho vahaañ bhi ab shahar hi base hain ki dhundhte ho jo zindagi tum vo zindagi ab kahii nahin hai
Javed Akhtar
2 likes
hamaare dil men ab talkhi nahin hai magar vo baat pahle si nahin hai mujhe mayus bhi karti nahin hai yahii aadat tiri achchhii nahin hai bahut se faaede hain maslahat men magar dil ki to ye marzi nahin hai har ik ki dastaan sunte hain jaise kabhi ham ne mohabbat ki nahin hai hai ik darwaaze bin deewar-e-duniya mafar gham se yahaañ koi nahin hai
Javed Akhtar
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Javed Akhtar.
Similar Moods
More moods that pair well with Javed Akhtar's ghazal.







