ghazalKuch Alfaaz

tumhare shahr ka mausam bada suhana lage main ek shaam chura luun agar bura na lage tumhare bas men agar ho to bhuul jaao mujhe tumhen bhulane men shayad mujhe zamana lage jo dubna hai to itne sukun se duubo ki as-pas ki lahron ko bhi pata na lage vo phuul jo mire daman se ho gae mansub khuda kare unhen bazar ki hava na lage na jaane kya hai kisi ki udaas ankhon men vo munh chhupa ke bhi jaae to bevafa na lage tu is tarah se mire saath bevafai kar ki tere baa'd mujhe koi bevafa na lage tum aankh muund ke pi jaao zindagi 'qaisar' ki ek ghunt men mumkin hai bad-maza na lage tumhaare shahr ka mausam bada suhana lage main ek sham chura lun agar bura na lage tumhaare bas mein agar ho to bhul jao mujhe tumhein bhulane mein shayad mujhe zamana lage jo dubna hai to itne sukun se dubo ki aas-pas ki lahron ko bhi pata na lage wo phul jo mere daman se ho gae mansub khuda kare unhen bazar ki hawa na lage na jaane kya hai kisi ki udas aankhon mein wo munh chhupa ke bhi jae to bewafa na lage tu is tarah se mere sath bewafai kar ki tere ba'd mujhe koi bewafa na lage tum aankh mund ke pi jao zindagi 'qaisar' ki ek ghunt mein mumkin hai bad-maza na lage

Related Ghazal

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Qaisarul Jafri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Qaisarul Jafri's ghazal.