tumhaara rang duniya ne chhua tha tab kahaan the tum hamaara canvas khaali pada tha tab kahaan the tum mere lashkar men shirkat ki ijaazat maangne waalo main parcham thaam kar tanhaa khada tha tab kahaan the tum tumhaari dastkon par rahm aata hai mujhe lekin ye darwaaza kaii din se khula tha tab kahaan the tum falon par haq jataane aa.e ho to ye bhi batla do main jab paudhon ko paani de raha tha tab kahaan the tum ye bas ik rasmiya taftish hai aaraam se baitho vafaa ka KHoon jis shab ko hua tha tab kahaan the tum muaafi chahta hoon ab to bas khabron se matlab hai main jab roomani filmen dekhta tha tab kahaan the tum
Related Ghazal
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
shor karunga aur na kuchh bhi boloonunga khaamoshi se apna rona ro loonga saari umr isee KHvaahish men guzri hai dastak hogii aur darwaaza khooloonunga tanhaaii men KHud se baatein karne hain mere munh men jo aayega boloonunga raat bahut hai tum chaaho to so jaao meraa kya hai main din men bhi so loonga tum ko dil ki baat bataani hai lekin aañkhen band karo to mutthi khooloonunga
Tehzeeb Hafi
84 likes
yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi
Umair Najmi
68 likes
mujh...ko darwaaze par hi rok liya jaata hai mere aane se bhala aap ka kya jaata hai tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho maut likhkar to kalam tod diya jaata hai tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai teri tasveer se jo kaam liya jaata hai
Tehzeeb Hafi
90 likes
maheenon baad daftar aa rahe hain ham ek sad men se baahar aa rahe hain teri baahon se dil ukta gaya hain ab is jhoole men chakkar aa rahe hain kahaan soya hai chaukidaar meraa ye kaise log andar aa rahe hain samandar kar chuka tasleem hamko khajaane KHud hi u uupar aa rahe hain yahii ek din bacha tha dekhne ko use bas men bitha kar aa rahe hain
Tehzeeb Hafi
116 likes
More from Zubair Ali Tabish
chaand ko daaman men la kar rakh diya usne meri god men sar rakh diya aankh men aañsu hai kiske naam ke kisne kashtii men samundar rakh diya vo bataane lag gaya majbooriyaan aur phir hamne receiver rakh diya
Zubair Ali Tabish
31 likes
baithe-baithe ik dam se chaunkaati hai yaad tiri kab dastak de kar aati hai titli ke jaisi hai meri har KHvaahish haath lagaane se pahle ud jaati hai mere sajde raaz nahin rahne waaleus ki chaukhat maathe ko chamkaati hai ishq men jitna bahko utna hi achha ye gumaahi manzil tak pahunchaati hai pahli pahli baar ajab sa lagta hai dheere dheere aadat si ho jaati hai tum us ko bhi samjha kar pachtayoge vo bhi mere hi jaisi jazbaati hai
Zubair Ali Tabish
27 likes
aqal ne achchhe achhon ko behkaaya tha shukr hai ham par kuchh vehshat ka saaya tha tum ne apni gardan unchi hi rakkhi varna main to maala lekar aaya tha main ab tak uske hi rang men rangaa hooñ jisne sabse pahle rang lagaaya tha meri raay sabse pahle li jaaye maine sabse pahle dhokha khaaya tha sabko ilm hai phool aur khushboo dono men sabse pahle kisne haath chhudaaya tha ik ladki ne phir mujh...ko behkaaya hai ik ladki ne achchhe se samjhaaya tha
Zubair Ali Tabish
48 likes
vaise tu mere makaan tak to chala aata hai phir achaanak se tire zehan men kya aata hai aahen bharta hooñ ki pooche koi aahon ka sabab phir tira zikr nikalta hai mazaa aata hai tere khat aaj lateefon ki tarah lagte hain khoob hansta hooñ jahaan lafz-e-wafa aata hai jaate-jaate ye kaha us ne chalo aata hooñ ab yahii dekhna hai jaata hai ya aata hai tujh ko vaise to zamaane ke hunar aate hain pyaar aata hai kabhi tujh ko bataa aata hai
Zubair Ali Tabish
23 likes
dil phir us kooche men jaane vaala hai baithe-bithaye thokar khaane vaala hai tark-e-taalluq ka dhadka sa hai dil ko vo mujh ko ik baat bataane vaala hai kitne adab se baithe hain sukhe paude jaise baadal she'r sunaane vaala hai ye mat soch saraaye par kya bitegi tu to bas ik raat bitaane vaala hai eenton ko aapas men milaane vaala shaKHs asl men ik deewaar uthaane vaala hai gaadi ki raftaar men aayi hai susti shaayad ab station aane vaala hai aakhri hichki leni hai ab aa jaao baa'd men tum ko kaun bulane vaala hai
Zubair Ali Tabish
33 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zubair Ali Tabish.
Similar Moods
More moods that pair well with Zubair Ali Tabish's ghazal.







