tumhen us se mohabbat hai to himmat kyuun nahin karte kisi din us ke dar pe raqs-e-vahshat kyuun nahin karte ilaaj apna karate phir rahe ho jaane kis kis se mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyuun nahin karte tumhare dil pe apna naam likkha ham ne dekha hai hamari chiiz phir ham ko inayat kyuun nahin karte miri dil ki tabahi ki shikayat par kaha us ne tum apne ghar ki chizon ki hifazat kyuun nahin karte badan baitha hai kab se kasa-e-ummid ki surat so de kar vasl ki khairat rukhsat kyuun nahin karte qayamat dekhne ke shauq men ham mar mite tum par qayamat karne vaalo ab qayamat kyuun nahin karte main apne saath jazbon ki jamaat le ke aaya huun jab itne muqtadi hain to imamat kyuun nahin karte tum apne honth aine men dekho aur phir socho ki ham sirf ek bose par qanaat kyuun nahin karte bahut naraz hai vo aur use ham se shikayat hai ki is narazgi ki bhi shikayat kyuun nahin karte kabhi allah-miyan puchhenge tab un ko bataenge kisi ko kyuun bataen ham ibadat kyuun nahin karte murattab kar liya hai kulliyat-e-zakhm agar apna to phir 'ehsas-ji' is ki ishaat kyuun nahin karte tumhein us se mohabbat hai to himmat kyun nahin karte kisi din us ke dar pe raqs-e-wahshat kyun nahin karte ilaj apna karaate phir rahe ho jaane kis kis se mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyun nahin karte tumhaare dil pe apna nam likkha hum ne dekha hai hamari chiz phir hum ko inayat kyun nahin karte meri dil ki tabahi ki shikayat par kaha us ne tum apne ghar ki chizon ki hifazat kyun nahin karte badan baitha hai kab se kasa-e-ummid ki surat so de kar wasl ki khairaat rukhsat kyun nahin karte qayamat dekhne ke shauq mein hum mar mite tum par qayamat karne walo ab qayamat kyun nahin karte main apne sath jazbon ki jamaat le ke aaya hun jab itne muqtadi hain to imamat kyun nahin karte tum apne honth aaine mein dekho aur phir socho ki hum sirf ek bose par qanaat kyun nahin karte bahut naraaz hai wo aur use hum se shikayat hai ki is naraazgi ki bhi shikayat kyun nahin karte kabhi allah-miyan puchhenge tab un ko bataenge kisi ko kyun bataen hum ibaadat kyun nahin karte murattab kar liya hai kulliyat-e-zakhm agar apna to phir 'ehsas-ji' is ki ishaat kyun nahin karte
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Farhat Ehsas.
Similar Moods
More moods that pair well with Farhat Ehsas's ghazal.







