ghazalKuch Alfaaz

tu bhi chup hai main bhi chup huun ye kaisi tanhai hai tere saath tiri yaad aai kya tu sach-much aai hai shayad vo din pahla din tha palken bojhal hone ka mujh ko dekhte hi jab us ki angdai sharmai hai us din pahli baar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas jab us ke malbus ki khushbu ghar pahunchane aai hai husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai ham ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil men soz-e-raqabat paida kar ke us ki niind udaai hai ham donon mil kar bhi dilon ki tanhai men bhatkenge pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl banai hai ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chadhe kyari men paani thahra hai divaron par kaai hai husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne naam ishq ka pesha husn-parasti ishq bada harjai hai aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa nikla tha juun hi darvaza khola hai us ki khushbu aai hai ek to itna habs hai phir main sansen roke baitha huun virani ne jhadu de ke ghar men dhuul udaai hai tu bhi chup hai main bhi chup hun ye kaisi tanhai hai tere sath teri yaad aai kya tu sach-much aai hai shayad wo din pahla din tha palken bojhal hone ka mujh ko dekhte hi jab us ki angdai sharmai hai us din pahli bar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas jab us ke malbus ki khushbu ghar pahunchane aai hai husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai hum ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahunchai hai hum ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil mein soz-e-raqabat paida kar ke us ki nind udai hai hum donon mil kar bhi dilon ki tanhai mein bhatkenge pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl banai hai ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chadhe kyari mein pani thahra hai diwaron par kai hai husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne nam ishq ka pesha husn-parasti ishq bada harjai hai aaj bahut din ba'd main apne kamre tak aa nikla tha jun hi darwaza khola hai us ki khushbu aai hai ek to itna habs hai phir main sansen roke baitha hun virani ne jhadu de ke ghar mein dhul udai hai

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Eliya.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.