ghazalKuch Alfaaz

tu miri ibtida tu miri intiha main samundar huun tu sahilon ki hava teri manzil bane mera har rasta main samundar huun tu sahilon ki hava roz-o-shab mauj-dar-mauj huun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par patakta huun sar haath aata nahin phir bhi daman tira main samundar huun tu sahilon ki hava meri shoridgi ke ye tufan sab meri khamoshiyon ke ye arman sab kuchh nahin ik tiri aarzu ke siva main samundar huun tu sahilon ki hava tu hi manzil miri tu hi had hai miri tujh se vabastagi nam-zad hai miri tu na ho gar to main khud men kho jaunga main samundar huun tu sahilon ki hava khushbuon se tiri ye mahakta safar yuun hi jaari rahega mire auj par tu masafat miri main tira rasta main samundar huun tu sahilon ki hava tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa teri manzil bane mera har rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa roz-o-shab mauj-dar-mauj hun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par patakta hun sar hath aata nahin phir bhi daman tera main samundar hun tu sahilon ki hawa meri shoridgi ke ye tufan sab meri khamoshiyon ke ye arman sab kuchh nahin ek teri aarzu ke siwa main samundar hun tu sahilon ki hawa tu hi manzil meri tu hi had hai meri tujh se wabastagi nam-zad hai meri tu na ho gar to main khud mein kho jaunga main samundar hun tu sahilon ki hawa khushbuon se teri ye mahakta safar yun hi jari rahega mere auj par tu masafat meri main tera rasta main samundar hun tu sahilon ki hawa

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Farhan Salim.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Farhan Salim's ghazal.