ghazalKuch Alfaaz

tu phuul ki manind na shabnam ki tarah aa ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu is baar zara meri shab-e-ghham ki tarah aa hal karne hain mujh ko kai pechida masail ai jan-e-vafa gesu-e-pur-kham ki tarah aa zakhmon ko gavara nahin yak-rangi-e-halat nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa nazdiki o duuri ki kashakash ko mita de is jang men tu sulh ke parcham ki tarah aa maana ki mira ghar tiri jannat to nahin hai duniya men miri laghhzish-e-adam ki tarah aa tu kuchh to mire zabt-e-mohabbat ka sila de hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu is bar zara meri shab-e-gham ki tarah aa hal karne hain mujh ko kai pechida masail ai jaan-e-wafa gesu-e-pur-kham ki tarah aa zakhmon ko gawara nahin yak-rangi-e-haalat nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa nazdiki o duri ki kashakash ko mita de is jang mein tu sulh ke parcham ki tarah aa mana ki mera ghar teri jannat to nahin hai duniya mein meri laghzish-e-adam ki tarah aa tu kuchh to mere zabt-e-mohabbat ka sila de hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa

Related Ghazal

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai

Umair Najmi

81 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga

Tehzeeb Hafi

241 likes

mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho

Fazil Jamili

73 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Fana Nizami Kanpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Fana Nizami Kanpuri's ghazal.