ghazalKuch Alfaaz

usi tarah ke shab-o-roz hain vahi duniya purani khaak pe taamir hai nai duniya main apne aap men gum tha mujhe khabar na hui guzar rahi thi mujhe raundti hui duniya har aadmi ko ye duniya badal ke rakh degi badal saka na agar ab bhi aadmi duniya nai hava ko madad ke liye pukarti hai khud apni aag men jalti hui nai duniya main jis havale se duniya pe ghhaur karta huun usi tarah se kabhi kaash sochti duniya main apne asl ki janib ravan-davan huun aur bula rahi hai musalsal mujhe miri duniya usi tarah ke shab-o-roz hain wahi duniya purani khak pe tamir hai nai duniya main apne aap mein gum tha mujhe khabar na hui guzar rahi thi mujhe raundti hui duniya har aadmi ko ye duniya badal ke rakh degi badal saka na agar ab bhi aadmi duniya nai hawa ko madad ke liye pukarti hai khud apni aag mein jalti hui nai duniya main jis hawale se duniya pe ghaur karta hun usi tarah se kabhi kash sochti duniya main apne asl ki jaanib rawan-dawan hun aur bula rahi hai musalsal mujhe meri duniya

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Aftab Hussain.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Aftab Hussain's ghazal.