uthi badli ghata chhai 'ajab mausam hua dil ka kahin tar ho na jaae phir zara daman bacha dil ka mohabbat ki kitabon men december bhi hai ab shamil sunati hai hamen barish fasana be-vafa dil ka sada se hijr ka mausam raha hai shahr men apne hava ka har chalan bhi be-sabab dushman raha dil ka 'inayat thi unhi ki jo unhon ne rabta rakkha hua kya phir khuda jaane ki tuuta silsila dil ka miri qismat ka taara 'umr bhar gardish ki zad men tha ubharna tha jahan ja kar vahin suraj dhala dil ka hua hai ab khayal-o-khvab barg-o-bar ka mausam khizaon ne jala daala hai har patta hara dil ka sunahri dhuup si ankhon ka dhalna dubna dekha 'azab-e-did tha manzar diya jis dam bujha dil ka kahani khatm ho jaati kisi anjam se pahle bata dete agar janan tumhen jo haal tha dil ka zamane se alag huun main to is men kya khata meri khatakta hai vahi sab ko jo ho sachcha khara dil ka mohabbat ke safar men ham divane aise the 'saulat' jala diin kashtiyan saari chala jo qafila dil ka uthi badli ghata chhai 'ajab mausam hua dil ka kahin tar ho na jae phir zara daman bacha dil ka mohabbat ki kitabon mein december bhi hai ab shamil sunati hai hamein barish fasana be-wafa dil ka sada se hijr ka mausam raha hai shahr mein apne hawa ka har chalan bhi be-sabab dushman raha dil ka 'inayat thi unhi ki jo unhon ne rabta rakkha hua kya phir khuda jaane ki tuta silsila dil ka meri qismat ka tara 'umr bhar gardish ki zad mein tha ubharna tha jahan ja kar wahin suraj dhala dil ka hua hai ab khayal-o-khwab barg-o-bar ka mausam khizaon ne jala dala hai har patta hara dil ka sunahri dhup si aankhon ka dhalna dubna dekha 'azab-e-did tha manzar diya jis dam bujha dil ka kahani khatm ho jati kisi anjam se pahle bata dete agar jaanan tumhein jo haal tha dil ka zamane se alag hun main to is mein kya khata meri khatakta hai wahi sab ko jo ho sachcha khara dil ka mohabbat ke safar mein hum diwane aise the 'saulat' jala din kashtiyan sari chala jo qafila dil ka
Related Ghazal
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
so rahenge ke jaagte rahenge ham tere khwaab dekhte rahenge tu kahii aur hi dhoondhta rahega ham kahii aur hi khile rahenge raahgeeron ne raah badalni hai ped apni jagah khade rahenge sabhi mausam hai dastaras men teri tune chaaha to ham hare rahenge lautna kab hai tune par tujhko aadatan hi pukaarte rahenge tujhko paane men mas'ala ye hai tujhko khone ke vasvase rahenge tu idhar dekh mujhse baate kar yaar chash men to phoote rahenge ek muddat hui hai tujhse mile tu to kahtaa tha raabte rahenge
Tehzeeb Hafi
91 likes
tamanna phir machal jaa.e agar tum milne aa jaao ye mausam hi badal jaa.e agar tum milne aa jaao mujhe gham hai ki maine zindagi men kuchh nahin paaya ye gham dil se nikal jaa.e agar tum milne aa jaao nahin milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere zamaana mujhse jal jaa.e agar tum milne aa jaao ye duniya bhar ke jhagde ghar ke qisse kaam ki baatein bala har ek tal jaa.e agar tum milne aa jaao
Javed Akhtar
48 likes
sunne men aaya hai meraa charcha nain tha mujh...ko jitna lagta tha main utna nain tha us..ko achchhe lagte the sab chhail chhabele ham jaison ko usse koi khatra nain tha saada dil the so ham apne hi dushman the vo bhi achha lagta tha jo achha nain tha maik saajan ki sab besharmi dekhi sab kuchh socha karta tha vo kahtaa nain tha achchhii soorat kitnii achchhii ho sakti thii lekin tab tak maine us..ko dekha nain tha
Vishal Bagh
12 likes
haan ye sach hai ki mohabbat nahin ki dost bas meri tabiyat nahin ki isliye gaanv main sailaab aaya hamne daryaao ki izzat nahin ki jism tak usne mujhe saunp diya dil ne is par bhi kanaayat nahin ki mere e'jaz men rakhi gaii thii maine jis bazm men shirkat nahin ki yaad bhi yaad se rakha us..ko bhool jaane men bhi gafalat nahin ki us..ko dekha tha ajab haalat men phir kabhi uski hifaazat nahin ki ham agar fatah hue hai to kya ishq ne kis pe hukoomat nahin ki
Tehzeeb Hafi
74 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saulat Bano.
Similar Moods
More moods that pair well with Saulat Bano's ghazal.







