ghazalKuch Alfaaz

vahi taaj hai vahi takht hai vahi zahr hai vahi jaam hai ye vahi khuda ki zamin hai ye vahi buton ka nizam hai bade shauq se mira ghar jala koi aanch tujh pe na aaegi ye zaban kisi ne kharid li ye qalam kisi ka ghhulam hai yahan ek bachche ke khuun se jo likha hua hai use padhen tira kirtan abhi paap hai abhi mera sajda haram hai main ye manta huun mire diye tiri andhiyon ne bujha diye magar ek jugnu havaon men abhi raushni ka imaam hai mire fikr-o-fan tiri anjuman na uruuj tha na zaval hai mire lab pe tera hi naam tha mire lab pe tera hi naam hai wahi taj hai wahi takht hai wahi zahr hai wahi jam hai ye wahi khuda ki zamin hai ye wahi buton ka nizam hai bade shauq se mera ghar jala koi aanch tujh pe na aaegi ye zaban kisi ne kharid li ye qalam kisi ka ghulam hai yahan ek bachche ke khun se jo likha hua hai use padhen tera kirtan abhi pap hai abhi mera sajda haram hai main ye manta hun mere diye teri aandhiyon ne bujha diye magar ek jugnu hawaon mein abhi raushni ka imam hai mere fikr-o-fan teri anjuman na uruj tha na zawal hai mere lab pe tera hi nam tha mere lab pe tera hi nam hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Bashir Badr

jab sehar chup ho hansa lo ham ko jab andhera ho jala lo ham ko ham haqeeqat hain nazar aate hain dastaanon men chhupa lo ham ko KHoon ka kaam ravaan rahna hai jis jagah chaaho baha lo ham ko din na pa jaa.e kahii shab ka raaz subh se pahle utha lo ham ko ham zamaane ke sataaye hain bahut apne seene se laga lo ham ko vaqt ke hont ha men choo lenge an-kahe bol hain ga lo ham ko

Bashir Badr

1 likes

falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai

Bashir Badr

1 likes

khaandaani rishton men akshar raqabat hai bahut ghar se niklo to ye duniya khoobsurat hai bahut apne college men bahut maghroor jo mashhoor hai dil mira kahtaa hai us ladki men chaahat hai bahut un ke chehre chaand taaron ki tarah raushan rahe jin ghareebon ke yahaañ husn-e-qanaat hai bahut ham se ho sakti nahin duniya ki duniya-daariyaan ishq ki deewaar ke saa.e men raahat hai bahut dhoop ki chadar mire suraj se kehna bhej de gurbaton ka daur hai jaadon ki shiddat hai bahut in andheron men jahaan sahmi hui thii ye zameen raat se tanhaa lada jugnoo men himmat hai bahut

Bashir Badr

2 likes

ik pari ke saath maujon par tahalta raat ko ab bhi ye qudrat kahaan hai aadmi ki zaat ko jin ka saara jism hota hai hamaari hi tarah phool kuchh aise bhi khilte hain hamesha raat ko ek ik kar ke sabhi kapde badan se gir chuke subh phir ham ye kafan pahnaayenge jazbaat ko peeche peeche raat thii taaron ka ik lashkar li.e rail ki patri pe suraj chal raha tha raat ko aab o KHaak o baad men bhi lehar vo aa jaa.e hai surkh kar deti hai dam bhar men jo peeli dhaat ko subh bistar band hai jis men lipt jaate hain ham ik safar ke baa'd phir khulte hain aadhi raat ko sar pe suraj ke hamaare pyaar ka saaya rahe maamta ka jism maange zindagi ki baat ko

Bashir Badr

5 likes

patthar ke jigar waalo gham men vo ravaani hai KHud raah banaa lega bahta hua paani hai ik zehen-e-pareshaan men khwaab-e-ghazlistaan hai patthar ki hifazat men sheeshe ki jawaani hai dil se jo chatte baadal to aankh men saawan hai thehra hua dariyaa hai bahta hua paani hai ham-rang-e-dil-e-pur-khoon har laala-e-sehraai gesu ki tarah muztar ab raat ki raani hai jis sang pe nazrein keen khurshid-e-haqeeqat hai jis chaand se munh moda patthar ki kahaanii hai ai peer-e-khirad-mandaan dil ki bhi zaroorat hai ye sheher-e-ghazaalaan hai ye mulk-e-jawaani hai gham wajh-e-figaar-e-dil gham wajh-e-qaraar-e-dil aañsu kabhi sheesha hai aañsu kabhi paani hai is hausla-e-dil par ham ne bhi kafan pahna hañs kar koi poochhega kya jaan ganvaani hai din talkh haqaaiq ke seharaaon ka suraj hai shab gesu-e-afsana yaadon ki kahaanii hai vo husn jise ham ne rusva kiya duniya men na-deeda haqeeqat hai na-gufta kahaanii hai vo misra-e-aawaara deewaanon pe bhari hai jis men tire gesu ki be-rabt kahaanii hai ham khushboo-e-aawaara ham noor-e-pareshaan hain ai badr muqaddar men aashufta-bayaani hai

Bashir Badr

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bashir Badr.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.