vo din kitna achchha tha main ji bhar ke roya tha hava thumak ke chalti thi hathon men guldasta tha huuk si uthti thi dil men uncha nicha rasta tha yahi ped the pahle bhi yahin kahin ik chashma tha chashme ka soya paani mujh dekh ke chaunka tha paani chhod ke ik gidad ik jhadi men lapka tha do mendak tarrae the ek parinda chikha tha ik kachhva ik patthar par patthar ban ke baitha tha main paani men utra to paani zor se uchhla tha pahle bhi is jangal se ek baar main guzra tha lekin pahli baar 'alvi' yaad nahin kya socha tha wo din kitna achchha tha main ji bhar ke roya tha hawa thumak ke chalti thi hathon mein guldasta tha huk si uthti thi dil mein uncha nicha rasta tha yahi ped the pahle bhi yahin kahin ek chashma tha chashme ka soya pani mujh dekh ke chaunka tha pani chhod ke ek gidad ek jhadi mein lapka tha do meindak tarrae the ek parinda chikha tha ek kachhwa ek patthar par patthar ban ke baitha tha main pani mein utra to pani zor se uchhla tha pahle bhi is jangal se ek bar main guzra tha lekin pahli bar 'alwi' yaad nahin kya socha tha
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Mohammad Alvi
dhoop ne guzarish ki ek boond baarish ki lo gale pade kaañte kyun gulon ki KHvaahish ki jagmaga uthe taare baat thii numaish ki ik patinga ujrat thii chipkili ki jumbish ki ham tavakko rakhte hain aur vo bhi bakshish ki lutf aa gaya alvee waah khoob koshish ki
Mohammad Alvi
3 likes
din ik ke baa'd ek guzarte hue bhi dekh ik din tu apne aap ko marte hue bhi dekh har vaqt khilte phool ki jaanib taka na kar murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh haan dekh barf girti hui baal baal par tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh apnon men rah ke kis li.e sehama hua hai tu aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh paivand baadlon ke lage dekh jaa-ba-jaa bagalon ko aasmaan katarte hue bhi dekh hairaan mat ho tairti machhlii ko dekh kar paani men raushni ko utarte hue bhi dekh us ko khabar nahin hai abhii apne husn ki aaina de ke bante-sanwarte hue bhi dekh dekha na hogaa tu ne magar intizaar men chalte hue samay ko theharte hue bhi dekh taa'riif sun ke dost se alvee tu KHush na hous ko tiri buraiyaan karte hue bhi dekh
Mohammad Alvi
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Mohammad Alvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Mohammad Alvi's ghazal.







