ghazalKuch Alfaaz

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar62 Likes

Related Ghazal

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

More from Javed Akhtar

vo dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai zameen suraj ki ungliyon se fisal rahi hai jo mujh ko zinda jala rahe hain vo be-KHabar hain ki meri zanjeer dheere dheere pighal rahi hai main qatl to ho gaya tumhaari gali men lekin mire lahu se tumhaari deewaar gal rahi hai na jalne paate the jis ke choolhe bhi har savere suna hai kal raat se vo bastii bhi jal rahi hai main jaanta hooñ ki KHaamushi men hi maslahat hai magar yahii maslahat mire dil ko khal rahi hai kabhi to insaan zindagi ki karega izzat ye ek ummeed aaj bhi dil men pal rahi hai

Javed Akhtar

2 likes

gham hote hain jahaan zehaanat hoti hai duniya men har shay ki qeemat hoti hai akshar vo kahte hain vo bas mere hain akshar kyun kahte hain hairat hoti hai tab ham dono vaqt chura kar laate the ab milte hain jab bhi furqat hoti hai apni mahbooba men apni maa dekhen bin maa ke ladkon ki fitrat hoti hai ik kashtii men ek qadam hi rakhte hain kuchh logon ki aisi aadat hoti hai

Javed Akhtar

0 likes

bahaana dhoondte rahte hain koi rone ka ha men ye shauq hai kya aasteen bhigone ka agar palak pe hai moti to ye nahin kaafi hunar bhi chahiye alfaaz men pirone ka jo fasl KHvaab ki taiyyaar hai to ye jaano ki vaqt aa gaya phir dard koi bone ka ye zindagi bhi ajab kaarobaar hai ki mujhe khushi hai paane ki koi na ranj khone ka hai paash paash magar phir bhi muskurata hai vo chehra jaise ho toote hue khilaune ka

Javed Akhtar

4 likes

khula hai dar pa tira intizaar jaata raha khuloos to hai magar etibaar jaata raha kisi ki aankh men masti to aaj bhi hai vahii magar kabhi jo ha men tha khumaar jaata raha kabhi jo seene men ik aag thii vo sard hui kabhi nigaah men jo tha sharaar jaata raha ajab sa chain tha ham ko ki jab the ham bechain qaraar aaya to jaise qaraar jaata raha kabhi to meri bhi sunwaai hogii mehfil men main ye umeed li.e baar baar jaata raha

Javed Akhtar

2 likes

sach ye hai be-kaar ha men gham hota hai jo chaaha tha duniya men kam hota hai dhaltaa suraj faila jungle rastaa gum ham se poochho kaisa aalam hota hai ghairoon ko kab furqat hai dukh dene ki jab hota hai koi hamdam hota hai zakham to ham ne in aankhoñ se dekhe hain logon se sunte hain marham hota hai zehan ki shaakhon par ashaar aa jaate hain jab teri yaadon ka mausam hota hai

Javed Akhtar

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Javed Akhtar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Javed Akhtar's ghazal.