vo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi ajeeb shaKHs hai apna bhi hai paraaya bhi ye intizaar sehar ka tha ya tumhaara tha diya jalaya bhi main ne diya bujhaaya bhi main chahta hooñ thehar jaa.e chashm-e-dariya men larzata aks tumhaara bhi meraa saaya bhi bahut maheen tha parda larzatee aankhoñ ka mujhe dikhaaya bhi tu ne mujhe chhupaaya bhi bayaaz bhar bhi gaii aur phir bhi saada hai tumhaare naam ko likkha bhi aur mitaaya bhi
Related Ghazal
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
mujh...ko darwaaze par hi rok liya jaata hai mere aane se bhala aap ka kya jaata hai tum agar jaane lage ho to palat kar mat dekho maut likhkar to kalam tod diya jaata hai tujhko batlaata magar sharm bahut aati hai teri tasveer se jo kaam liya jaata hai
Tehzeeb Hafi
90 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Aanis Moin
baahar bhi ab andar jaisa sannaata hai dariyaa ke us paar bhi gahra sannaata hai shor tha men to shaayad sadiyaan beet chuki hain ab tak lekin sehama sehama sannaata hai kis se boluun ye to ik sehra hai jahaan par main hooñ ya phir goonga bahra sannaata hai jaise ik toofaan se pahle ki khaamoshi aaj mirii bastii men aisa sannaata hai nayi sehar ki chaap na jaane kab ubharegi chaaron jaanib raat ka gahra sannaata hai soch rahe ho socho lekin bol na padna dekh rahe ho shahar men kitna sannaata hai mahv-e-khwaab hain saari dekhne waali aañkhen jaagne vaala bas ik andha sannaata hai darna hai to an-jaani awaaz se darna ye to aanis dekha-bhala sannaata hai
Aanis Moin
3 likes
vo kuchh gahri soch men aise doob gaya hai baithe baithe nadi kinaare doob gaya hai aaj ki raat na jaane kitnii lambi hogii aaj ka suraj shaam se pahle doob gaya hai vo jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha paani paani kahte kahte doob gaya hai mere apne andar ek bhanwar tha jis men meraa sab kuchh saath hi mere doob gaya hai shor to yuñ utha tha jaise ik toofaan ho sannaate men jaane kaise doob gaya hai aakhiri KHvaahish poori kar ke jeena kaisa aanas bhi saahil tak aa ke doob gaya hai
Aanis Moin
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aanis Moin.
Similar Moods
More moods that pair well with Aanis Moin's ghazal.







