vo to hashr tha magar us ki ab vo shabahaten bhi chali gaiin jo rahen to shahr men kya rahen ki qayamaten bhi chali gaiin tire dam se thiin sabhi raunaqen vo habib the ki raqib the vo qarabaten to gai hi thiin vo riqabaten bhi chali gaiin tira qurb garche tha jan-gusil vahi qurb tha miri zindagi tire baa'd marg-o-hayat ki vo rifaqaten bhi chali gaiin miri aarzu thi ki jan-ba-kaf miri justuju ki nafas ba-pa ab ai zindagi mujhe chhod ja ki ye halaten bhi chali gaiin tu ne di jo dard ki daulaten vo ghhazal ghhazal na sama sakin mire haath se tire husn ki ye virasaten bhi chali gaiin use dekh dekh ke sochna use soch soch ke dekhna vo aziiz kya ki aziz-tar kai adaten bhi chali gaiin wo to hashr tha magar us ki ab wo shabahaten bhi chali gain jo rahen to shahr mein kya rahen ki qayamaten bhi chali gain tere dam se thin sabhi raunaqen wo habib the ki raqib the wo qarabaten to gai hi thin wo riqabaten bhi chali gain tera qurb garche tha jaan-gusil wahi qurb tha meri zindagi tere ba'd marg-o-hayat ki wo rifaqaten bhi chali gain meri aarzu thi ki jaan-ba-kaf meri justuju ki nafas ba-pa ab ai zindagi mujhe chhod ja ki ye haalaten bhi chali gain tu ne di jo dard ki daulaten wo ghazal ghazal na sama sakin mere hath se tere husn ki ye wirasaten bhi chali gain use dekh dekh ke sochna use soch soch ke dekhna wo aziz kya ki aziz-tar kai aadaten bhi chali gain
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
Similar Writers
Our suggestions based on R P Shokh.
Similar Moods
More moods that pair well with R P Shokh's ghazal.







