ghazalKuch Alfaaz

vufur-e-dard ko ehsas hai main jaane vaala huun bahut kam vaqt mere paas hai main jaane vaala huun kaha jo tha ki tere baad duniya men nahin rahna mujhe apne kahe ka paas hai main jaane vaala huun mabada mere jaane tak vo chashma khushk ho jaae mujhe ab-e-abad ki pyaas hai main jaane vaala huun agar main saans lene ko rukun to rizq rukta hai mujhe hijrat musalsal raas hai main jaane vaala huun vo meri khalvat-e-paiham to meri badshahat hai taalluq aarzi ban-bas hai main jaane vaala huun girai ja rahi hain yuun bhi divaren duaon ki mire ahbab ko vishvas hai main jaane vaala huun zabani yaad kar lo phir ye khal-o-khat nahin honge qarib-e-shoalagi qirtas hai main jaane vaala huun ye saman bhi sambhalo tum ye ehsan bhi utha lo tum yahi jo mohlat-e-anfas hai main jaane vaala huun dar-o-divar ki halat se andaza laga liije kahin jaale kahin par ghaas hai main jaane vaala huun bas ab main aur karb-e-kashmakash men rah nahin sakta yahan har aas men ik yaas hai main jaane vaala huun akela hai koi meri tarah aflak par shahid use meri azal se aas hai main jaane vaala huun wufur-e-dard ko ehsas hai main jaane wala hun bahut kam waqt mere pas hai main jaane wala hun kaha jo tha ki tere baad duniya mein nahin rahna mujhe apne kahe ka pas hai main jaane wala hun mabaada mere jaane tak wo chashma khushk ho jae mujhe aab-e-abad ki pyas hai main jaane wala hun agar main sans lene ko rukun to rizq rukta hai mujhe hijrat musalsal ras hai main jaane wala hun wo meri khalwat-e-paiham to meri baadshahat hai talluq aarzi ban-bas hai main jaane wala hun girai ja rahi hain yun bhi diwaren duaon ki mere ahbab ko wishwas hai main jaane wala hun zabani yaad kar lo phir ye khal-o-khat nahin honge qarib-e-shoalagi qirtas hai main jaane wala hun ye saman bhi sambhaalo tum ye ehsan bhi utha lo tum yahi jo mohlat-e-anfas hai main jaane wala hun dar-o-diwar ki haalat se andaza laga lije kahin jale kahin par ghas hai main jaane wala hun bas ab main aur karb-e-kashmakash mein rah nahin sakta yahan har aas mein ek yas hai main jaane wala hun akela hai koi meri tarah aflak par shahid use meri azal se aas hai main jaane wala hun

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Shahid Zaki.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Shahid Zaki's ghazal.