vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath
Related Ghazal
is se pahle ki tujhe aur sahaara na mile main tire saath hooñ jab tak mire jaisa na mile kam se kam badle men jannat use de dii jaaye jis mohabbat ke girftaar ko sehraa na mile log kahte hai ke ham log bure aadmi hai log bhi aise jinhone ha men dekha na mile bas yahii kah ke use maine KHuda ko saunpa ittefaakan kahii mil jaaye to rota na mile baddua hai ke vahaañ aaye jahaan baithe the aur afkaar vahaañ aapko baitha na mile
Afkar Alvi
38 likes
chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi
Zubair Ali Tabish
58 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
koi haseen to koi dardnaak samjhega meraa mijaaz vahii theek thaak samjhega main jis ke saath kaii raaton se hoon us ka naam bataa to doonga magar tu mazaak samjhega vo jis hisaab se gaata hai us se lagta hai ki mere dukh ko to bas bee praak samjhega
Kushal Dauneria
36 likes
gahe gahe bas ab yahii ho kya tum se mil kar bahut khushi ho kya mil rahi ho bade tapaak ke saath mujh ko yaksar bhula chuki ho kya yaad hain ab bhi apne KHvaab tumhein mujh se mil kar udaas bhi ho kya bas mujhe yoonhi ik khayal aaya sochti ho to sochti ho kya ab mirii koi zindagi hi nahin ab bhi tum mirii zindagi ho kya kya kaha ishq jaavedaani hai aakhiri baar mil rahi ho kya haan fazaa yaa ki soi soi si hai to bahut tez raushni ho kya mere sab tanj be-asar hi rahe tum bahut door ja chuki ho kya dil men ab soz-e-intizaar nahin sham-e-ummeed bujh gaii ho kya is samundar pe tishna-kaam hooñ main baan tum ab bhi bah rahi ho kya
Jaun Elia
39 likes
More from Ahmad Faraz
karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
Ahmad Faraz
3 likes
kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin
Ahmad Faraz
6 likes
kya aise kam-sukhan se koi guftugoo kare jo mustaqil sukoot se dil ko lahu kare ab to ha men bhi tark-e-maraasim ka dukh nahin par dil ye chahta hai ki aaghaaz tu kare tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi KHud ko ganwa ke kaun tiri justuju kare ab to ye aarzoo hai ki vo zakham khaaiye ta-zindagi ye dil na koi aarzoo kare tujh ko bhula ke dil hai vo sharminda-e-nazar ab koi haadsa hi tire roo-b-roo kare chup-chaap apni aag men jalte raho faraaz duniya to arz-e-haal se be-aabroo kare
Ahmad Faraz
8 likes
jo gair the vo isee baat par hamaare hue ki ham se dost bahut be-KHabar hamaare hue kise khabar vo mohabbat thii ya raqabat thii bahut se log tujhe dekh kar hamaare hue ab ik hujoom-e-shikasta-dilaan hai saath apne jinhen koi na mila hum-safar hamaare hue kisi ne gham to kisi ne mizaaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamaare hue bujha ke taq ki shamein na dekh taaron ko isee junoon men to barbaad ghar hamaare hue vo e'timaad kahaan se faraaz laayenge kisi ko chhod ke vo ab agar hamaare hue
Ahmad Faraz
9 likes
dil badan ka shareek-e-haal kahaan hijr phir hijr hai visaal kahaan ishq hai naam intihaaon ka is samundar men etidaal kahaan aisa nashaato zahar men bhi na tha ai gham-e-dil tiri misaal kahaan ham ko bhi apni paayemaali ka hai magar is qadar malaal kaha main nayi dosti ke mod pe tha aa gaya hai tira khayal kaha dil ki khush-fahm tha so hai warna tere milne ka ehtimaal kahaan vasl o hijraanhain aur duniyaayein in zamaanon men maah-o-saal kahaan tujh ko dekha to log hairaanhain aa gaya shahar men ghazaal kahaan tujh pe likkhi to saj gaii hai ghazal aa mila KHvaab se khayal kahaan ab to shah maat ho rahi hai faraaz ab bachaav ki koi chaal kahaan
Ahmad Faraz
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







