ghazalKuch Alfaaz

vo aadmi nahin hai mukammal bayaan hai maathe pe us ke chot ka gahra nishaan hai vo kar rahe hain ishq pe sanjeeda guftugoo main kya bataaun meraa kahii aur dhyaan hai samaan kuchh nahin hai fate-haal hai magar jhole men us ke paas koi samvidhaan hai us sar-fire ko yuñ nahin bahla sakenge aap vo aadmi naya hai magar saavdhaan hai fissle jo us jagah to ludhkate chale ga.e ham ko pata nahin tha ki itni dhalaan hai dekhe hain ham ne daur kaii ab khabar nahin paav tale zameen hai ya aasmaan hai vo aadmi mila tha mujhe us ki baat se aisa laga ki vo bhi bahut be-zabaan hai

Related Ghazal

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga

Tehzeeb Hafi

241 likes

More from Dushyant Kumar

jaane kis kis ka khayal aaya hai is samundar men ubaal aaya hai ek bachcha tha hawa ka jhonka saaf paani ko khangaal aaya hai ek dhela to wahin atka tha ek tu aur uchaal aaya hai kal to niklaa tha bahut saj-dhaj ke aaj lautaa to nidhaal aaya hai ye nazar hai ki koi mausam hai ye saba hai ki vabaal aaya hai ham ne socha tha javaab aayega ek behooda sawaal aaya hai

Dushyant Kumar

5 likes

ye shafaq shaam ho rahi hai ab aur har gaam ho rahi hai ab jis tabaahi se log bachte the vo sar-e-aam ho rahi hai ab azmat-e-mulk is siyaasat ke haath neelaam ho rahi hai ab shab ghaneemat thii log kahte hain subh badnaam ho rahi hai ab jo kiran thii kisi dariche ki marqaz-e-baam ho rahi hai ab tishna-lab teri fusfusaahat bhi ek paighaam ho rahi hai ab

Dushyant Kumar

2 likes

lafz ehsaas-se chhaane lage ye to had hai lafz maane bhi chhupaane lage ye to had hai aap deewaar uthaane ke li.e aa.e the aap deewaar uthaane lage ye to had hai KHaamushi shor se sunte the ki ghabraati hai KHaamushi shor machaane lage ye to had hai aadmi hont chab aa.e to samajh aata hai aadmi chaal. chabaane lage ye to had hai jism pahraavon men chhup jaate the pahraavon men jism nange nazar aane lage ye to had hai log tahzeeb-o-tamaddun ke saleeqe seekhe log rote hue gaane lage ye to had hai

Dushyant Kumar

5 likes

roz jab raat ko baarah ka gajr hota hai yaatanaaon ke andhere men safar hota hai koi rahne ki jagah hai mire sapnon ke li.e vo gharaunda hi sahi miTTi ka bhi ghar hota hai sir se seene men kabhi pet se paanv men kabhi ik jagah ho to kahein dard idhar hota hai aisa lagta hai ki ud kar bhi kahaan pahunchege haath men jab koi toota hua par hota hai sair ke vaaste sadkon pe nikal aate the ab to aakaash se pathraav ka dar hota hai

Dushyant Kumar

5 likes

main jise odhta bichaata hooñ vo ghazal aap ko sunaata hooñ ek jungle hai teri aankhoñ men main jahaan raah bhool jaata hooñ tu kisi rail si guzarti hai main kisi pul sa thartharaata hooñ har taraf e'itraaz hota hai main agar raushni men aata hooñ ek baazu ukhad gaya jab se aur ziyaada vazn uthaata hooñ main tujhe bhoolne ki koshish men aaj kitne qareeb paata hooñ kaun ye fasla nibhaega main farishta hooñ sach bataata hooñ

Dushyant Kumar

18 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Dushyant Kumar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Dushyant Kumar's ghazal.