vo hum-safar tha magar us se ham-navaai na thii ki dhoop chaanv ka aalam raha judaai na thii na apna ranj na auron ka dukh na teraa malaal shab-e-firaq k abhii ham ne yuñ ganwaai na thii mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha shikasta-dil the musaafir shikasta-paai na thii adaavaten theen taghaaful tha ranjishen theen bahut bichhadne waale men sab kuchh tha be-vafaaii na thii bichhadte vaqt un aankhoñ men thii hamaari ghazal ghazal bhi vo jo kisi ko abhii sunaai na thii kise pukaar raha tha vo doobta hua din sadaa to aayi thii lekin koi duhaai na thii k abhii ye haal ki dono men yak-dili thii bahut k abhii ye marhala jaise ki aashnaai na thii ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh naseer vahaañ bhi aa ga.e aaKHir jahaan rasai na thii
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahar men kuchh din thehar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharaab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai she'r o shaayri se shagaf so ham bhi mo'jize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phool jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chaand takta rehta hai sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan sataati hain suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazaal si aañkhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kaakulen us ki suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulaab jalte hain so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki jo saada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamaail hain us ki gardan men mizaaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan men palang zaaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki taraash aisi hai ki phool apni qabaayein katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahin ki us shajar pe shagoofe samar ke dekhte hain bas ik nigaah se lutta hai qaafila dil ka so rah-ravaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht makeen udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishein us ka tawaaf karti hain chale to us ko zamaane thehar ke dekhte hain kise naseeb ki be-pairhan use dekhe kabhi kabhi dar o deewaar ghar ke dekhte hain kahaaniyaan hi sahi sab mubaalga hi sahi agar vo KHvaab hai taabeer kar ke dekhte hain ab us ke shahar men thehre ki kooch kar jaayen faraaz aao sitaare safar ke dekhte hain
Ahmad Faraz
65 likes
jaam cigarette kash aur bas kuchh dhuaan aakhirsh aur bas maut tak zindagi ka safar raat-din kashmakash aur bas pee gaya ped aandhi magar gir pada kha ke ghash aur bas zindagi jaltee cigarette hai sirf do-chaar kash aur bas sookhte ped ki lakdiyaan aakhiri peshkash aur bas
Sandeep Thakur
50 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
ye pyaar teri bhool hai qubool hai main sang hooñ tu phool hai qubool hai dagaa bhi dooñga pyaar men kabhi kabhi ki ye miraa usool hai qubool hai tujhe jahaan azeez hai to chhod ja mujhe ye shay fuzool hai qubool hai tu roothegi to main manaaunga nahin jo rule hai vo rule hai qubool hai lipt ai shaakhe gul magar ye soch kar miraa badan babool hai qubool hai yahii hai gar tiri raza to bol phir qubool hai qubool hai qubool hai
Varun Anand
42 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Naseer Turabi.
Similar Moods
More moods that pair well with Naseer Turabi's ghazal.







