ya rab ye jahaan-e-guzraan khoob hai lekin kyun khwaar hain mardaan-e-safa-kesh o hunar-mand go is ki khudaai men mahaajan ka bhi hai haath duniya to samjhti hai farangi ko khuda-wand tu barg-e-gaya hai na vahii ahl-e-khirad raa o kisht-e-gul-o-laala b-bakhshad b-khare chand haazir hain kaleesa men kebab o may-e-gulgoo'n masjid men dhara kya hai b-juz mau'izaa o pand ahkaam tire haq hain magar apne mufassir taawil se quraan ko banaa sakte hain paazand firdaus jo teraa hai kisi ne nahin dekha afrang ka har qaryaa hai firdaus ki maanind muddat se hai aawaara-e-aflaak miraa fikr kar de ise ab chaand ke ghaaron men nazar-band fitrat ne mujhe bakshe hain jauhar malaakooti KHaaki hooñ magar KHaak se rakhta nahin paivand darvesh-e-khuda-mast na sharqi hai na garbi ghar miraa na dilli na safaahaan na samarkand kahtaa hooñ vahii baat samajhta hooñ jise haq ne aabla-e-masjid hooñ na tahzeeb ka farzand apne bhi KHafaa mujh se hain begaane bhi na-khush main zahar-e-halaahal ko kabhi kah na sakaa qand mushkil hai ik banda-e-haq-been-o-haq-andesh khaashaak ke tode ko kahe koh-e-damaavand hooñ aatish-e-namrood ke sholoon men bhi KHaamosh main banda-e-momin hooñ nahin daana-e-aspand pur-soz nazar-baaz o niko-been o kam aarzoo azaad o girftaar o tahee keesa o khursand har haal men miraa dil-e-be-qaid hai khurram kya chheenega gunche se koi zauq-e-shakar-khand chup rah na sakaa hazrat-e-yazdaan men bhi iqbaal karta koi is banda-e-gustaakh ka munh band
Related Ghazal
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
More from Allama Iqbal
apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main
Allama Iqbal
1 likes
khird ke paas khabar ke siva kuchh aur nahin tira ilaaj nazar ke siva kuchh aur nahin har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin giraa-baha hai to hifz-e-khu dii se hai warna guhar men aab-e-guhar ke siva kuchh aur nahin ragon men gardish-e-khoon hai agar to kya haasil hayaat soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin uroos-e-laala munaasib nahin hai mujh se hijaab ki main naseem-e-sehr ke siva kuchh aur nahin jise kasaad samjhte hain taajiraan-e-farang vo shay mata-e-hunar ke siva kuchh aur nahin badaa kareem hai iqbaal'-e-be-nava lekin ata-e-shola sharar ke siva kuchh aur nahin
Allama Iqbal
0 likes
asar kare na kare sun to le mirii fariyaad nahin hai daad ka taalib ye banda-e-aazaad ye musht-e-khaak ye sarsar ye wusa'at-e-aflaak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-eijaad thehar sakaa na hawa-e-chaman men khema-e-gul yahii hai fasl-e-bahaari yahii hai baad-e-muraad qusoor-waar ghareeb-ud-dayaar hooñ lekin tira kharaabaa farishte na kar sake aabaad mirii jafa-talbi ko duaaein deta hai vo dasht-e-saada vo teraa jahaan-e-be-buniyaad khatr-pasand tabeeyat ko saazgaar nahin vo gulsitaan ki jahaan ghaat men na ho sayyaad maqaam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausale hain ziyaad
Allama Iqbal
5 likes
har shay musaafir har cheez raahi kya chaand taare kya murgh o maahi tu mard-e-maidaan tu meer-e-lashkar noori huzoori tere sipaahi kuchh qadr apni tu ne na jaani ye be-swaa dii ye kam-nigaahi duniya-e-doo ki kab tak ghulaami ya rahebi kar ya paadshaahi peer-e-haram ko dekha hai main ne kirdaar-e-be-soz guftaar waahi
Allama Iqbal
4 likes
na tu zameen ke li.e hai na aasmaañ ke li.e jahaan hai tere li.e tu nahin jahaan ke li.e ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khaar-o-khas ke li.e hai ye neestaan ke li.e maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chamanna sair-e-gul ke li.e hai na aashiyaan ke li.e rahega raavi o neel o furaat men kab tak tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke li.e nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-raah-daan ke li.e nigah buland sukhun dil-nawaz jaañ pur-soz yahii hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke li.e zaraa si baat thii andesha-e-ajm ne use badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke li.e mire guloo men hai ik naghma jibraail-aashob sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke li.e
Allama Iqbal
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







