ghazalKuch Alfaaz

ya-rab ghham-e-hijran men itna to kiya hota jo haath jigar par hai vo dast-e-dua hota ik ishq ka ghham aafat aur us pe ye dil aafat ya ghham na diya hota ya dil na diya hota nakam-e-tamanna dil is soch men rahta hai yuun hota to kya hota yuun hota to kya hota ummid to bandh jaati taskin to ho jaati vaada na vafa karte vaada to kiya hota ghhairon se kaha tum ne ghhairon se suna tum ne kuchh ham se kaha hota kuchh ham se suna hota ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota jo hath jigar par hai wo dast-e-dua hota ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat ya gham na diya hota ya dil na diya hota nakaam-e-tamanna dil is soch mein rahta hai yun hota to kya hota yun hota to kya hota ummid to bandh jati taskin to ho jati wada na wafa karte wada to kiya hota ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne kuchh hum se kaha hota kuchh hum se suna hota

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Chiragh Hasan Hasrat.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Chiragh Hasan Hasrat's ghazal.