ghazalKuch Alfaaz

yaad rakkhega mira kaun fasana mire dost main na majnun huun na majnun ka zamana mire dost hijr insan ke khad-o-khal badal deta hai kabhi fursat men mujhe dekhne aana mire dost shaam dhalne se faqat shaam nahin dhalti hai umr dhal jaati hai jaldi palat aana mire dost roz kuchh log mire shahr men mar jaate hain ain mumkin hai thahar kar chale jaana mire dost tum agar ab bhi khandar dekh ke khush hote ho to kisi din miri janib nikal aana mire dost jaise mitti ko hava saath liye phirti hai main kahan aur kahan mera thikana mire dost yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost main na majnun hun na majnun ka zamana mere dost hijr insan ke khad-o-khal badal deta hai kabhi fursat mein mujhe dekhne aana mere dost sham dhalne se faqat sham nahin dhalti hai umr dhal jati hai jaldi palat aana mere dost roz kuchh log mere shahr mein mar jate hain ain mumkin hai thahar kar chale jaana mere dost tum agar ab bhi khandar dekh ke khush hote ho to kisi din meri jaanib nikal aana mere dost jaise mitti ko hawa sath liye phirti hai main kahan aur kahan mera thikana mere dost

Related Ghazal

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

sabne dil se use utaara tha vo mari kab thii us..ko maara tha pairo'n men girke jeeta tha jis..ko us..ko paane men KHudko haara tha tere mere men bat gaya sabkuchh ek taaim tha sab hamaara tha uski yaadon men dil jale hai ab jiska chehra nahin gawara tha maine vo khoya jo meraa nahin tha tumne vo khoya jo tumhaara tha jeet sakaa tha usse main kaatib par bade hausale se haara tha

Himanshi babra KATIB

43 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ashfaq Nasir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ashfaq Nasir's ghazal.