ghazalKuch Alfaaz

yaaro ghar aai shaam chalo mai-kade chalen yaad aa rahe hain jaam chalo mai-kade chalen dair-o-haram pe khul ke jahan baat ho sake hai ek hi maqam chalo mai-kade chalen achchha nahin piyenge jo piina haram hai jiina na ho haram chalo mai-kade chalen yaaro jo hoga dekhenge ghham se to ho najat le kar khuda ka naam chalo mai-kade chalen saaqi bhi hai sharab bhi azadiyan bhi hain sab kuchh hai intizam chalo mai-kade chalen aisi faza men lutf-e-ibadat na aaega lena hai us ka naam chalo mai-kade chalen fursat ghhamon se paana agar hai to aao 'nur' sab ko karen salam chalo mai-kade chalen yaro ghar aai sham chalo mai-kade chalen yaad aa rahe hain jam chalo mai-kade chalen dair-o-haram pe khul ke jahan baat ho sake hai ek hi maqam chalo mai-kade chalen achchha nahin piyenge jo pina haram hai jina na ho haram chalo mai-kade chalen yaro jo hoga dekhenge gham se to ho najat le kar khuda ka nam chalo mai-kade chalen saqi bhi hai sharab bhi aazadiyan bhi hain sab kuchh hai intizam chalo mai-kade chalen aisi faza mein lutf-e-ibaadat na aaega lena hai us ka nam chalo mai-kade chalen fursat ghamon se pana agar hai to aao 'nur' sab ko karen salam chalo mai-kade chalen

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari

Ali Zaryoun

70 likes

chal diye fer kar nazar tum bhi gair to gair the magar tum bhi ye gali mere dilruba ki hai doston khairiyat idhar tum bhi mujhpe logon ke saath hanste ho log roenge khaas kar tum bhi mujh...ko thukra diya hai duniya ne main to mar jaaunga agar tum bhi uski gaadi to ja chuki taabish ab utho jaao apne ghar tum bhi

Zubair Ali Tabish

58 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Krishn Bihari Noor.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Krishn Bihari Noor's ghazal.