yahaan har shaKHs har pal haadsa hone se dartaa hai khilauna hai jo miTTi ka fana hone se dartaa hai mire dil ke kisi kone men ik maasoom sa bachcha badon ki dekh kar duniya badaa hone se dartaa hai na bas men zindagi us ke na qaabu maut par us ka magar insaan phir bhi kab KHuda hone se dartaa hai ajab ye zindagi ki qaid hai duniya ka har insaan rihaai maangtaa hai aur rihaa hone se dartaa hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara
Kushal Dauneria
67 likes
More from Rajesh Reddy
aaKHir to doobna hi tha kaaghaz ki naav ko ilzaam dete rahiye nadi ke bahaav ko dil ke dhuan ko aankhoñ men aane nahin diya aasaan nahin tha saadhna is rakh-rakhaav ko ban aayi jaañ pe jab pada samaan baandhna manzil samajh ke baith ga.e the padaav ko
Rajesh Reddy
12 likes
jaane kitnii udaan baaki hai is parinde men jaan baaki hai jitni bantni thii bant chuki ye zameen ab to bas aasmaan baaki hai ab vo duniya ajeeb lagti hai jis men amn-o-amaan baaki hai imtihaan se guzar ke kya dekha ik naya imtihaan baaki hai sar qalam honge kal yahaañ unke jinke munh men zabaan baaki hai
Rajesh Reddy
6 likes
kisi din zindagaani men karishma kyun nahin hota main har din jaag to jaata hooñ zinda kyun nahin hota mirii ik zindagi ke kitne hisse-daar hain lekin kisi ki zindagi men meraa hissa kyun nahin hota jahaan men yoon to hone ko bahut kuchh hota rehta hai main jaisa sochta hooñ kuchh bhi waisa kyun nahin hota hamesha tanj karte hain tabeeyat poochne waale tum achha kyun nahin karte main achha kyun nahin hota zamaane bhar ke logon ko kiya hai mubtala tu ne jo teraa ho gaya tu bhi usii ka kyun nahin hota
Rajesh Reddy
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rajesh Reddy.
Similar Moods
More moods that pair well with Rajesh Reddy's ghazal.







