ghazalKuch Alfaaz

jahaan-jahaan pe tujhe gair ne chhua hua tha wahaan-wahaan pe meraa jism bhi jala hua tha shikast honi thii ye meraa pehla ishq tha aur vo be-vafa yahii karte hue badaa hua tha phir ek roz mujhe ye pata laga uske purane aashiqon ke saath bhi bura hua tha pitaa ke kehne se ladki ne ghar basa liya par maon is kahaanii men ladke ke saath kya hua tha

Related Ghazal

khayal men bhi use be-rida nahin kiya hai ye zulm mujhse nahin ho sakaa nahin kiya hai main ek shaKHs ko eimaan jaanta hooñ to kya KHuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai isi li.e to main roya nahin bichhadte samay tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai

Ali Zaryoun

48 likes

phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii

Kumar Vishwas

53 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

More from Kushal Dauneria

husn ik gulsitaan ka maali hai aankh shahtoot badan daali hai maine kuchh der udaasi hañs kar maari hai maar nahin daali hai saaj-o-shringaar se chamkaaya badan ek hi note vo bhi jaali hai

Kushal Dauneria

24 likes

vo jab band kamre men latka hua tha ye kis ko pata tha khilaadi mohabbat men bilkul naya tha ye kis ko pata tha ki un jaahilon ne use aadmi ki tarah bhi na rakha main bachpan se jis shaKHs ko poojta tha ye kis ko pata tha main jab tak use jeet lene ki taiyaariyaan kar raha tha vo tab tak kisi aur ka ho chuka tha ye kis ko pata tha

Kushal Dauneria

24 likes

maine to bas mazaq men poocha KHaraab hai vo peer haath dekh ke bola kharaab hai har din use dikhaaya ki kitne shareef hain har raat uske baare men socha kharaab hai ye ishq ho chuka hai turup-chaal taash ki aage ghulaam ke mira ikka kharaab hai azaad ladkiyon se bhalii qaid auratein matlab ki jheel theek hai dariyaa kharaab hai ham jis KHuda ki aas men baithe hain raat din vo ja chuka hai bol ke duniya kharaab hai zyaada kisi ki maut pe rona nahin sahi aur janmdin pe shor sharaaba kharaab hai aadha bhi uske jitna main raushan nahin hua main jis diye ko bol raha tha kharaab hai

Kushal Dauneria

35 likes

bachi hai raushni jo bhi charaaghon se nikal jaa.e jo mere dil se niklaa hai duaon se nikal jaa.e ham aise log jo dushman ke rone par thehar jaayen vo aisa shaKHs jo apnon ki laashon se nikal jaa.e padaane ka agar matlab hai haathon se nikal jaana khudaaya phir mirii beti bhi haathon se nikal jaa.e vahii ik shaKHs tha meraa yahaañ par jee lagaane ko usii ko chahte the sab ki gaav se nikal jaa.e idhar to choo rahi hai jism meraa thande haathon se udhar vo chahti hai raat baaton se nikal jaa.e numaish baap ki daulat ki kar ke sochta tha main ki shaayad imtihaan-e-ishq paison se nikal jaa.e

Kushal Dauneria

25 likes

saare ka saara to meraa bhi nahin aur vo shaKHs be-vafa bhi nahin ghaur se dekhne pe boli hai shaa dii se pahle sochna bhi nahin achchhii sehat ka hai meraa mahboob dhoke dete hue thaka bhi nahin j itnaa barbaad kar diya tune utna aabaad to main tha bhi nahin mujh...ko bas itnaa deen aata hai jahaan main KHud nahin KHuda bhi nahin

Kushal Dauneria

43 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kushal Dauneria.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kushal Dauneria's ghazal.