ghazalKuch Alfaaz

ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyaar karta huun main is ilzam se filhal to inkar karta huun jhatak deta hai khvab-e-vasl ka har rang ankhon se ye koshish kya kahun har roz kitni baar karta huun sabhi hairan hain kya tha vo samjhauta judai ka na vo e'lan karta hai na main izhar karta huun miri ankhon men phir jaati hai surat hu-ba-hu us ki main us ke dekhne valon ka jab didar karta huun 'ajab kya hai agar ghata pada mujh ko mohabbat men ye kar-o-bar hai aur men ye kar-o-bar karta huun 'zafar' tasvir ho sakti hai kab ne'mul-badal us ka koi puchhe ye main kis chiiz par israr karta huun ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyar karta hun main is ilzam se filhaal to inkar karta hun jhatak deta hai khwab-e-wasl ka har rang aankhon se ye koshish kya kahun har roz kitni bar karta hun sabhi hairan hain kya tha wo samjhauta judai ka na wo e'lan karta hai na main izhaar karta hun meri aankhon mein phir jati hai surat hu-ba-hu us ki main us ke dekhne walon ka jab didar karta hun 'ajab kya hai agar ghata pada mujh ko mohabbat mein ye kar-o-bar hai aur mein ye kar-o-bar karta hun 'zafar' taswir ho sakti hai kab ne'mul-badal us ka koi puchhe ye main kis chiz par israr karta hun

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Zafar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Zafar's ghazal.