ghazalKuch Alfaaz

ye mat puchho ki kaisa aadmi huun karoge yaad, aisa aadmi huun mira nam-o-nasab kya puchhte ho! zalil-o-khvar-o-rusva aadmi huun taaruf aur kya is ke siva ho ki main bhi aap jaisa aadmi huun zamane ke jhamelon se mujhe kya miri jaan! main tumhara aadmi huun chale aaya karo meri taraf bhii! mohabbat karne vaala aadmi huun tavajjoh men kami beshi na jaano azizo! main akela aadmi huun guzarun ek jaisa vaqt kab tak koi patthar huun main ya aadmi huun 'shuur' aa jaao mere sath, lekin! main ik bhatka hua sa aadmi huun ye mat puchho ki kaisa aadmi hun karoge yaad, aisa aadmi hun mera nam-o-nasab kya puchhte ho! zalil-o-khwar-o-ruswa aadmi hun taaruf aur kya is ke siwa ho ki main bhi aap jaisa aadmi hun zamane ke jhamelon se mujhe kya meri jaan! main tumhaara aadmi hun chale aaya karo meri taraf bhi! mohabbat karne wala aadmi hun tawajjoh mein kami beshi na jaano azizo! main akela aadmi hun guzarun ek jaisa waqt kab tak koi patthar hun main ya aadmi hun 'shuur' aa jao mere sath, lekin! main ek bhatka hua sa aadmi hun

Related Ghazal

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

is tarah se na aajmao mujhe uski tasveer mat dikhaao mujhe ain mumkin hai main palat aaun uski aawaaz men bulao mujhe maine bola tha yaad mat aanaa jhooth bola tha yaad aao mujhe

Ali Zaryoun

64 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

apni aankhoñ men bhar kar le jaane hain mujh...ko uske aansoo kaam men laane hai dekho ham koi vehshi nahin deewane hain tumse button khulwane nahin lagwane hai ham tum ek dooje ki seedhi hai jaana baaki duniya to saanpon ke khaane hain paakiza cheezon ko paakiza likho mat likho uski aañkhen maykhaane hain

Varun Anand

63 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Anwar Shuoor.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Anwar Shuoor's ghazal.