ye musht-e-khak apne ko jahan chahe tahan le ja par is 'alam ko is 'alam se mat bar-e-garan le ja 'adam se jis tarah tanha chala aaya tha phir vaan ko munasib hai isi surat se surat chhod jaan le ja kudurat ma-siva ki dho le khatir-khvah khatir se ba-juz nam-e-khuda hamrah mat nam-o-nishan le ja aziz-o-aqriba ne mal-o-milkiyyat ba-kar aave kisi ki dosti ki ai dila hasrat na vaan le ja gadai badshahi bhi masavi vaqt marne ke tayaqqun kar sukhan meri par hargiz mat guman le ja isi duniya men duniya se kinara kar jo 'aqil hai mohabbat phir kisi shai ki na saath ai mehrban le ja na koi le gaya kuchh aur na le jaave koi hargiz yaqin gor-o-kafan milne pe kya tashkik haan le ja gai baghh-e-jahan se khalq khali haath le par tu bahar-e-zindagi se zikr ka gul be-khizan le ja bakheda yaan ka yaan par chhod 'afridi' 'adam akhir na ye dard-o-bala ranj-o-alam ah-o-fughhan le ja ye musht-e-khak apne ko jahan chahe tahan le ja par is 'alam ko is 'alam se mat bar-e-garan le ja 'adam se jis tarah tanha chala aaya tha phir wan ko munasib hai isi surat se surat chhod jaan le ja kudurat ma-siwa ki dho le khatir-khwah khatir se ba-juz nam-e-khuda hamrah mat nam-o-nishan le ja aziz-o-aqriba ne mal-o-milkiyyat ba-kar aawe kisi ki dosti ki ai dila hasrat na wan le ja gadai baadshahi bhi masawi waqt marne ke tayaqqun kar sukhan meri par hargiz mat guman le ja isi duniya mein duniya se kinara kar jo 'aqil hai mohabbat phir kisi shai ki na sath ai mehrban le ja na koi le gaya kuchh aur na le jawe koi hargiz yaqin gor-o-kafan milne pe kya tashkik han le ja gai bagh-e-jahan se khalq khali hath le par tu bahaar-e-zindagi se zikr ka gul be-khizan le ja bakheda yan ka yan par chhod 'afridi' 'adam aakhir na ye dard-o-bala ranj-o-alam aah-o-fughan le ja
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qasim Ali Khan Afridi.
Similar Moods
More moods that pair well with Qasim Ali Khan Afridi's ghazal.







