ye payaam de gaii hai mujhe baad-e-subh-gaahi ki khu dii ke aarifon ka hai maqaam paadshaahi tiri zindagi isee se tiri aabroo isee se jo rahi khu dii to shaahi na rahi to roo-siyaahi na diya nishaan-e-manzil mujhe ai hakeem tu ne mujhe kya gilaa ho tujh se tu na rah-nasheen na raahi mire halka-e-sukhan men abhii zer-e-tarbiyat hain vo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulaahi ye muaamle hain naazuk jo tiri raza ho tu kar ki mujhe to KHush na aaya ye tariq-e-khaanqaahi tu huma ka hai shikaari abhii ibtida hai teri nahin maslahat se khaali ye jahaan-e-murg-o-maahi tu arab ho ya ajam ho tira la ilaah illa lughat-e-ghareeb jab tak tira dil na de gawaahi
Related Ghazal
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi
Umair Najmi
68 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
tamanna phir machal jaa.e agar tum milne aa jaao ye mausam hi badal jaa.e agar tum milne aa jaao mujhe gham hai ki maine zindagi men kuchh nahin paaya ye gham dil se nikal jaa.e agar tum milne aa jaao nahin milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere zamaana mujhse jal jaa.e agar tum milne aa jaao ye duniya bhar ke jhagde ghar ke qisse kaam ki baatein bala har ek tal jaa.e agar tum milne aa jaao
Javed Akhtar
48 likes
aap jaison ke li.e is men rakha kuchh bhi nahin lekin aisa to na kahiye ki vafaa kuchh bhi nahin aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar is ta'alluq men aziyyat ke siva kuchh bhi nahin main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin haaye is shahar ki raunaq ke main sadqe jaaun aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin phir koi taaza sukhun dil men jagah karta hai jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon maan leta hooñ ki us shaKHs men tha kuchh bhi nahin main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad aisi munh-zor udaasi ki davaa kuchh bhi nahin
Jawwad Sheikh
50 likes
More from Allama Iqbal
na tu zameen ke li.e hai na aasmaañ ke li.e jahaan hai tere li.e tu nahin jahaan ke li.e ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khaar-o-khas ke li.e hai ye neestaan ke li.e maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chamanna sair-e-gul ke li.e hai na aashiyaan ke li.e rahega raavi o neel o furaat men kab tak tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke li.e nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-raah-daan ke li.e nigah buland sukhun dil-nawaz jaañ pur-soz yahii hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke li.e zaraa si baat thii andesha-e-ajm ne use badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke li.e mire guloo men hai ik naghma jibraail-aashob sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke li.e
Allama Iqbal
1 likes
dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai
Allama Iqbal
1 likes
mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-aarzooman dii maqaam-e-bandagi de kar na luun shaan-e-khudaavan dii tire azaad bandon ki na ye duniya na vo duniya yahaañ marne ki paaban dii vahaañ jeene ki paaban dii hijaab ikseer hai aawaara-e-koo-e-mohabbat ko mirii aatish ko bhadrkaati hai teri der-paivan dii guzar-auqaat kar leta hai ye koh o biyaabaan men ki shaheen ke li.e zillat hai kaar-e-aashiyaan-ban dii ye faizaan-e-nazar tha ya ki khushhaali ki karaamat thii sikhaae kis ne ismaail ko aadaab-e-farzan dii ziyaarat-gaah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahd mirii ki khaak-e-raah ko main ne bataaya raaz-e-alvan dii mirii mashshaatgi ki kya zaroorat husn-e-ma'ni ko ki fitrat KHud-ba-KHud karti hai laale ki hina-ban dii
Allama Iqbal
0 likes
apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main
Allama Iqbal
1 likes
har shay musaafir har cheez raahi kya chaand taare kya murgh o maahi tu mard-e-maidaan tu meer-e-lashkar noori huzoori tere sipaahi kuchh qadr apni tu ne na jaani ye be-swaa dii ye kam-nigaahi duniya-e-doo ki kab tak ghulaami ya rahebi kar ya paadshaahi peer-e-haram ko dekha hai main ne kirdaar-e-be-soz guftaar waahi
Allama Iqbal
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







