yoonhi be-baal-o-par khade hue hain ham qafas tod kar khade hue hain dasht guzra hai mere kamre se aur deewar-o-dar khade hue hain KHud hi jaane lage the aur KHud hi raasta rok kar khade hue hain aur kitnii ghumaoge duniya ham to sar thaam kar khade hue hain barguzeeda buzurg neem ke ped thak ga.e hain magar khade hue hain muddaton se hazaar-ha aalam ek ummeed par khade hue hain
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
baat karne hai baat kaun kare dard se do do haath kaun kare ham sitaare tumhein bulaate hain chaand na ho to raat kaun kare ab tujhe rab kahein ya but samjhen ishq men zaat-paat kaun kare zindagi bhar ki the kamaai tum is se zyaada zakaat kaun kare
Kumar Vishwas
56 likes
naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham
Jaun Elia
67 likes
More from Ammar Iqbal
teergii taq men ja dii hui hai dhoop dahleez par pa dii hui hai dil pe naakaamiyon ke hain paivand aas ki soi bhi ga dii hui hai mere jaisi hai meri parchhaaien dhoop men pal ke ye ba dii hui hai gher rakha hai na-rasaai ne aur KHvaahish wahin kha dii hui hai main ne tasveer fenk dii hai magar keel deewaar men ga dii hui hai haarta bhi nahin gham-e-dauraan zid pe ummeed bhi a dii hui hai dil kisi ke khayal men hai gum raat ko KHvaab ki pa dii hui hai
Ammar Iqbal
2 likes
jahal ko aagahi banaate hue mil gaya raushni banaate hue kya qayamat kisi pe guzregi aakhiri aadmi banaate hue kya hua tha zaraa pata to chale vaqt kya tha ghadi banaate hue kaise kaise banaa diye chehre apni be-chehergi banaate hue dasht ki wusaaten badhaati theen meri aawaargi banaate hue us ne naasoor kar liya hogaa zakham ko shaayeri banaate hue
Ammar Iqbal
9 likes
pahle hamaari aankh men beenaai aayi thii phir is ke baa'd quwwat-e-goyai aayi thii main apni khastagi se hua aur paayedaar meri thakan se mujh men tawaanai aayi thii dil aaj shaam se hi use dhoondhne laga kal jis ke baa'd kamre men tanhaaii aayi thii vo kis ki nagmgi thii jo daaron saroon men thii rangon men kis ke rang se ra'naai aayi thii phir yuñ hua ki us ko tamannaai kar liya meri taraf jo chashm-e-tamaashaai aayi thii
Ammar Iqbal
3 likes
mujh se banta hua tu tujh ko banata hua main geet hota hua tu geet sunaata hua main ek kooze ke tasavvur se jude ham dono naqsh deta hua tu chaak ghumaata hua main tum banaao kisi tasveer men koi rastaa main banata hooñ kahii door se aata hua main ek tasveer ki takmeel ke ham do pahluu rang bharta hua tu rang banata hua main mujh ko le jaa.e kahii door bahaati hui tu tujh ko le jaaun kahii door udaata hua main ik ibaarat hai jo tahreer nahin ho paai mujh ko likhta hua tu tujh ko mitaata hua main mire seene men kahii KHud ko chhupata hua tu tere seene se tira dard churaata hua main kaanch ka ho ke mire aage bikharta hua tu kirchiyon ko tiri palkon se uthaata hua main
Ammar Iqbal
17 likes
martaba tha makaam tha meraa roshni par kayaam tha meraa main hi bheja gaya tha pahle bhi tab koi aur naam tha meraa aakhiri waqt aankh khul gaii thii varna kissa tamaam tha meraa
Ammar Iqbal
10 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ammar Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Ammar Iqbal's ghazal.







