zabt kar ke hansi ko bhuul gaya main to us zakhm hi ko bhuul gaya zat-dar-zat ham-safar rah kar ajnabi ajnabi ko bhuul gaya subh tak vajh-e-jan-kani thi jo baat main use shaam hi ko bhuul gaya ahd-e-vabastagi guzar ke main vajh-e-vabastagi ko bhuul gaya sab dalilen to mujh ko yaad rahin bahs kya thi usi ko bhuul gaya kyuun na ho naaz is zehanat par ek main har kisi ko bhuul gaya sab se pur-amn vaqia ye hai aadmi aadmi ko bhuul gaya qahqaha marte hi divana har ghham-e-zindagi ko bhuul gaya khvab-ha-khvab jis ko chaha tha rang-ha-rang usi ko bhuul gaya kya qayamat hui agar ik shakhs apni khush-qismati ko bhuul gaya soch kar us ki khalvat-anjumani vaan main apni kami ko bhuul gaya sab bure mujh ko yaad rahte hain jo bhala tha usi ko bhuul gaya un se vaada to kar liya lekin apni kam-fursati ko bhuul gaya bastiyo ab to rasta de do ab to main us gali ko bhuul gaya us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usi ko bhuul gaya yaani tum vo ho vaqai? had hai main to sach-much sabhi ko bhuul gaya akhiri but khuda na kyuun thahre but-shikan but-gari ko bhuul gaya ab to har baat yaad rahti hai ghhaliban main kisi ko bhuul gaya us ki khushiyon se jalne vaala 'jaun' apni iza-dahi ko bhuul gaya zabt kar ke hansi ko bhul gaya main to us zakhm hi ko bhul gaya zat-dar-zat ham-safar rah kar ajnabi ajnabi ko bhul gaya subh tak wajh-e-jaan-kani thi jo baat main use sham hi ko bhul gaya ahd-e-wabastagi guzar ke main wajh-e-wabastagi ko bhul gaya sab dalilen to mujh ko yaad rahin bahs kya thi usi ko bhul gaya kyun na ho naz is zehanat par ek main har kisi ko bhul gaya sab se pur-amn waqia ye hai aadmi aadmi ko bhul gaya qahqaha marte hi diwana har gham-e-zindagi ko bhul gaya khwab-ha-khwab jis ko chaha tha rang-ha-rang usi ko bhul gaya kya qayamat hui agar ek shakhs apni khush-qismati ko bhul gaya soch kar us ki khalwat-anjumani wan main apni kami ko bhul gaya sab bure mujh ko yaad rahte hain jo bhala tha usi ko bhul gaya un se wada to kar liya lekin apni kam-fursati ko bhul gaya bastiyo ab to rasta de do ab to main us gali ko bhul gaya us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usi ko bhul gaya yani tum wo ho waqai? had hai main to sach-much sabhi ko bhul gaya aakhiri but khuda na kyun thahre but-shikan but-gari ko bhul gaya ab to har baat yaad rahti hai ghaaliban main kisi ko bhul gaya us ki khushiyon se jalne wala 'jaun' apni iza-dahi ko bhul gaya
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaun Eliya.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.







