zinda rahen to kya hai jo mar jaayen ham to kya duniya se KHaamushi se guzar jaayen ham to kya hasti hi apni kya hai zamaane ke saamne ik KHvaab hain jahaan men bikhar jaayen ham to kya ab kaun muntazir hai hamaare li.e vahaañ shaam aa gaii hai laut ke ghar jaayen ham to kya dil ki khalish to saath rahegi tamaam umr dariya-e-gham ke paar utar jaayen ham to kya
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
More from Muneer Niyazi
hañsi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya ye ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya utha to ja bhi chuka tha ajeeb mehmaantha sadaaende ke mujhe neend se jaga bhi gaya ghazab hua jo andhere men jal u thii bijli badan kisi ka tilismaat kuchh dikha bhi gaya hawa thii gahri ghatta thii hina ki KHushboo thii ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya chalo muneer chalen ab yahaanrahen bhi to kya vo sang-dil to yahaan se kahii chala bhi gaya
Muneer Niyazi
4 likes
be-khayaali men yoon hi bas ik iraada kar liya apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya jaante the dono ham us ko nibha sakte nahinus ne vaa'da kar liya maine bhi vaa'da kar liya gair se nafrat jo pa li kharch KHud par ho gaii jitne ham the ham ne KHud ko us se aadha kar liya shaam ke rangon men rakh kar saaf paani ka gilaas aab-e-saada ko hareef-e-rang-e-baada kar liya hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqaam kya tha jis ko ham ne KHud deewar-e-jaada kar liya ek aisa shaKHs banta ja raha hooñ main muneer jis ne KHud par band husn o jaam o baada kar liya
Muneer Niyazi
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Muneer Niyazi.
Similar Moods
More moods that pair well with Muneer Niyazi's ghazal.







