zindagi kya hai ik kahani hai ye kahani nahin sunani hai hai khuda bhi ajiib yaani jo na zamini na asmani hai hai mire shauq-e-vasl ko ye gila us ka pahlu sara-e-fani hai apni tamir-e-jan-o-dil ke liye apni buniyad ham ko dhani hai ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal yaan ki har baat na-gahani hai chaliye ai jan-e-sham aaj tumhen shama ik qabr par jalani hai rang ki apni baat hai varna akhirash khuun bhi to paani hai ik abas ka vajud hai jis se zindagi ko murad paani hai shaam hai aur sahn men dil ke ik ajab huzn-e-asmani hai zindagi kya hai ek kahani hai ye kahani nahin sunani hai hai khuda bhi ajib yani jo na zamini na aasmani hai hai mere shauq-e-wasl ko ye gila us ka pahlu sara-e-fani hai apni tamir-e-jaan-o-dil ke liye apni buniyaad hum ko dhani hai ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal yan ki har baat na-gahani hai chaliye ai jaan-e-sham aaj tumhein shama ek qabr par jalani hai rang ki apni baat hai warna aakhirash khun bhi to pani hai ek abas ka wajud hai jis se zindagi ko murad pani hai sham hai aur sahn mein dil ke ek ajab huzn-e-asmani hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaun Eliya.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.







