aankhoñ kii KHaatir us kii aankhoñ kii KHaatir ya us kii aankhoñ ke vaasteus se juda hona ek gunaah hai mujhe ki haan ye bhi ek sabab haius se juda ya mahjoor na hone ka ki jab jab khayal-e-firaaq aata hai mere zehan men to mainus kii vo aañkhen hi to yaad karta hooñ ki kya hogaa jab chhod dooñga un aankhoñ ko darmiyaan-e-safar kya vo afsurda aañkhen phir sah paa.e'ngi ye mahjoori meri vo aañkhen jin men ek umr talak khoya raha hooñ main vo aañkhen jo mujhe mujh se zyaada jaanti hain vo aañkhen jin men mahfooz hain saari yaaden saari baatein saare lamhe aur sab aalam apne sukh dukh ke vo aañkhen jo mere har khwaab ko apna khwaab maanti hain aur jis ke KHud ke khwaab ma-tahati hue hain vo aañkhen jo apne maazi men badi pareshaan rahi hain vo aañkhen jo mujhe ek ummeed se dekhti hain abhii aur ab is maujooda haal men ek sukoon talaashti hain mujh men kahiin vo aañkhen jo abhii bhi sahmi hui hain par ek kashish lauti hai mere aane se vo aañkhen jin se vaa'da kar chuka hooñ main ki k abhii sabab-e-girya na banuunga aur k abhii darmiyaan-e-safarna chhodunga unhen
Related Nazm
pehla ishq ta'arruf hua tha abhii hi un se waqt kahaan zyaada guzra hai baatein hoti thii bahut hi un se waqt kahaan zyaada sudhara hai ankon men dilchaspi mujhe urdu ka thoda-sa gyaan tha woh angrezee se waqif bahut lekin shunya sa abhimaan tha pasand unki aankhoñ men kaajal aur unpar vo chashma tha unhen pasand meri ghani daadhi aur aankhoñ men surmaa tha k abhii ye la do to k abhii vo la do maine ki har KHvaahish poori lekin mehram banaane ki meri KHvaahish rah gayi adhuri kaha tha unhonne pahle hi mujh se rakh do apne maa-baap ko arzee par zafar dartaa khone se unko aur kaha jaisi rab ki marzi na jaane kaun sa lazez waqt tha ki ishq ki rasoi ko ham ne pakaaya agar alahida karna hi tha maqsad to phir kyun ham dono ko milaaya
ZafarAli Memon
14 likes
"ख़ूबसूरत अजनबी" मिला है सफ़र में मुझे एक चेहरा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत ख़ुदा ने बनाया है जो उसका मुखड़ा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत मुसलसल उसी को फ़क़त तक रहा हूँ उसी पर मैं इक नज़्म भी कह रहा हूँ वो रक्खी है जो अपने सर पर दुपट्टा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत बहुत क़ातिलाना है उसकी निगाहें बहुत जानलेवा है उसकी अदाएँ लगाई है जो उसने आँखों पे चश्मा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत उसे हूर कह के पुकारा है मैंने ज़रा गुफ़्तुगू करके देखा है मैंने उसे बात करने का जो है तरीक़ा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत है मालूम 'दानिश' वो इक अजनबी है मगर उसमें हरगिज़ न कोई कमी है जो गुज़रा है उसका मेरे साथ लम्हा बहुत ख़ूबसूरत बहुत ख़ूबसूरत
Danish Balliavi
12 likes
jazbaat jo ye aankhoñ se bah raha hai kitne ham laachaar hai tum samjho to intezar hai varna koi intezar nahin tumhaari yaad men aise dooba jaise koi beemaar hai tum samjho to bekaraar hai varna koi bekaraar nahin jo meri dhadkan chal rahi hai in men bas tumhaara naam hai tum samjho to ye pukaar hai varna koi pukaar nahin in haatho se tumhaari zulfen sanvaarni hain har shaam tumhaare saath guzaarni hai tum samjho to ye dulaar hai varna koi dulaar nahin tumhaare bas dil men jagah nahin tumhaari rooh se rishta chahiye tum samjho to ye aar-paar hai varna kuchh aar-paar nahin tumhein mil to jaayega mujhse achha saamne tumhaare to qatar hai tumhein pata hai na tumhaari chaahat ka bas ek haqdaar hai baaki koi haqdaar nahin tumhaari baanhon men hi sukoon milega mujhe sach kahooñ to darkaar hai tum samjho to ye bahaar hai varna kahii bahaar nahin tumhaari god men aaraam chahiye tumhaari aawaaz men bas apna naam chahiye tum samjho to ye qaraar hai varna koi qaraar nahin tum ho jo mere jeevan ka tum nahin to sab bezaar hai tum samjho to ye aadhaar hai varna koi aadhaar nahin kaash tum bhi hamse iqraar karte chaahat ki barsaat musala-dhaar karte main tumse behad karta aur tum behad ki bhi had paar karte tum samjho to in sab ke aasaar hain varna koi aasaar nahin agar tum koshish karte to pata chaltaa ki tum ho to ghar-baar hai tum se hi meraa sansaar hai varna koi sansaar nahin bin tere zindagi to rahegi kaat lenge tumhaare bina tum samjho to jeene ka vichaar hai varna koi vichaar nahin ye duniya bhale kuchh bhi bole tum meri nahin to kya main tumhaara to hooñ na yahii meraa izhaar hai agar tum samjho to ye pyaar hai varna koi pyaar nahin
Divya 'Kumar Sahab'
37 likes
tumhaara phone aaya hai ajab si oob shaamil ho gayi hai roz jeene men palon ko din men din ko kaat kar jeena maheene men mahj maayusiyaan jagti hain ab kaisi bhi aahat par hazaaron uljhnon ke ghonsle latke hain chaukhat par achaanak sab ki sab ye chuppiyaan ik saath pighli hain ummeedein sab simat kar haath ban jaane ko machli hain mere kamre ke sannaate ne angadaai si to dii hai meri KHaamoshiyon ne ek naghma gungunaaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai sati ka chaitra dik jaa.e jaise roop-baari men ki jaise chhath ke mauke par jagah mil jaa.e gaa dii men meri awaaz se jaage tumhaare baam-o-dar jaise ye namumkin si hasrat hai khyaali hai magar jaise ba dii naakaamiyon ke baad himmat ki lehar jaise ba dii bechainiyon ke baad raahat ka pahar jaise ba dii gumnaamiyon ke baad shohrat ki mehr jaise subah aur shaam ko saadhe hue ik dopahar jaise bade unwaan ko baandhe hue chhoti bahar jaise nayi dulhan ke sharmate hue shaam-o-sehar jaise hatheli par rachi mehn dii achaanak muskuraai hai meri aankhoñ men aañsu ka sitaara jagmagaya hai tumhaara phone aaya hai tumhaara phone aaya hai
Kumar Vishwas
81 likes
main raat uthoon aur apne saare purane yaaron ko phone kar ke unhen jagaaoon unhen jagaaoon unhen bataoon ki yaar tum sab badal ga.e ho bahut hi aage nikal ga.e ho jo raahen tumne chuni hui hain vo kitnii tanhaa hain kitnii khaali jo raatein tum ne pasand kii hain vo saKHt kaali hain saKHt kaali zara sa maazi baeed dekho ham aisi duniya men jee rahe the jahaan pe ham se agar hamaara koii bhi jigari khafa hua to ham uskaa ghussa KHud apne u uupar nikaalte the hasi kii baatein ajeeb kisse ajeeb saste se jok kah ke kisi bhi haalat kisi bhi qeemat peus khafa ko hansa rahe the aur aaj aalam hai aisa ham sab khafa khafa hain juda juda hain hamaari life men koii ladki hamaari life banii hui hai hamaari aankhoñ pe pyaar naamak safed patti bandhi hui hai tumhaari life ko kis tarah tum bita rahe ho kisi haseena kii uljhi zulfen sanwaarte ho usii kii nakhre utha rahe ho rula rahe ho manaa rahe ho ye baatein apne main doston ko sunaana chaahoon to phone uthaaun jo phone uthaaun to kaantaikt ko khangaal baithoon magar ta'ajjub ke meri ungli meri bagaavat men aa khadi hai kisi haseena ke ek number ko call karne pe ja adi hai so main kisi yaar dost ko phir puraani yaaden dilaaun kaise kisi ka number lagaaun kaise main KHud sabhi ko bhula chuka hooñ main call aakhir milaaun kaise
Shadab Javed
12 likes
More from Zaan Farzaan
sun mere ai pyaare rab sun mere ai pyaare rab saari mushkil kar de hal tu to waqif hai kaise katata hai meraa har pal fikr-e-farda ya tangi marz-e-tan ya majboori mushkil mushkil har-soo hai kitnii qismain hain is kii maana in sab ke peechhe kuchh to behtar hi hogaa meri bhi KHaatir tu ne kuchh hai behtar hi socha par phir bhi ghabraaye jee jab sochun main mustaqbil aañkhen ho jaati hain nam andar se jalta hai dil chaaro jaanib taarikee dikhti hai mujh ko jab jab dil tab tab ye kahtaa hai sun mere ai pyaare rab
Zaan Farzaan
7 likes
aadat kabhi jab sochta hooñ kya karunga bin tire mujhe afsurdagi mehsoos hoti hai bahut ki tujh se peshtar to bas siyah thii zindagi tiri aamad ne maano rang is men bhar diye ki ab har baat ko jazbaat ko haalaat ko mirii har fikr ko har dard ko har ranj ko mirii is be-basi ya be-kali ya taish ko mire har gham ko aur un se mili har aah ko mire har zakhm aur un se mile har daag ko mirii is zindagi men pad rahi uftad ko samajhne ke li.e tu hai muyassar aaj to magar kal ka nahin maaloom mujh ko kya karoon agar tu kal nahin hogaa khuda-na-khwaasta ye sab phir kaun samjhega mujhe batla zara khayaal aata hai ye jab bhi mujhe to yuñ lage ki goya cheer hi dega ye ab seena mira bhala kaise jiyoonga bin tire ye zindagi tu vo aadat hai jo main chhod saktaa hi nahin
Zaan Farzaan
7 likes
achha sochenge achha achha sochoge to achha achha hogaa sach men aisa hota hai kya sach men aisa hogaa achha sochenge to kya achchhe se din guzrenge neend aayegi achchhe se achchhe manzar aayenge hogaa haal-e-dil achha fam achha hi bolega tan men hogaa zor achha gosh achha sun paayega nain achha hi dekhenge saans achchhii hi aayegi har aalam achha hogaa har aaft tal jaayegi kahte ho ye sab hogaa saare dukh mit jaayenge achha achha sochenge ham bhi achha sochenge
Zaan Farzaan
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Zaan Farzaan.
Similar Moods
More moods that pair well with Zaan Farzaan's nazm.







