Black and wight tasweer
Related Nazm
us se muhabbat jheelein kya hain uski aañkhen umdaa kya hai uskaa chehra khushboo kya hai uski saansen khushiyaan kya hain uskaa hona to gham kya hai usse judaai saawan kya hai uskaa rona sar dii kya hai uski udaasi garmi kya hai uskaa ghussa aur bahaarein uskaa hansna meetha kya hai uski baatein karwa kya hai meri baatein kya padhna hai uskaa likkha kya sunna hai uski ghazlein lab ki KHvaahish uskaa maatha zakham ki KHvaahish uskaa choona duniya kya hai ik jungle hai aur tum kya ho ped samajh lo aur vo kya hai ik raahi hai kya socha haius se muhabbat kya karte hous se muhabbat matlab peshaus se muhabbat is ke alaavaus se muhabbat usse muhabbat
Varun Anand
475 likes
chal aa ek aisi nazm kahooñ chal aa ek aisi nazm kahooñ jo lafz kahooñ vo ho jaa.e bas ashk kahooñ to ek aañsu tere gore gaal ko dho jaa.e main aa likkhoon tu aa jaa.e main baith likkhoon tu aa baithe mere shaane par sar rakhe tu main neend kahooñ tu so jaa.e main kaagaz par tere hont likkhoon tere honthon par muskaan aa.e main dil likkhoon tu dil thaa men main gum likkhoon vo kho jaa.e tere haath banaaun pencil se phir haath pe tere haath rakhoon kuchh ulta seedha farz karoon kuchh seedha ulta ho jaa.e main aah likhoon tu haay kare bechain likhoon bechain ho tu phir bechain ka be kaatoon tujhe chain zaraa sa ho jaa.e abhii ain likhoon tu soche mujhe phir sheen likhoon teri neend ude jab qaaf likhoon tujhe kuchh kuchh ho main ishq likhoon tujhe ho jaa.e
Amir Ameer
295 likes
yaad hai pahle roz kaha tha yaad hai pahle roz kaha tha phir na kehna ghalti dil ki pyaar samajh ke karna ladki pyaar nibh aanaa hota hai phir paar lagana hota hai yaad hai pahle roz kaha tha saath chalo to poore safar tak mar jaane ki agli khabar tak samjho yaar KHuda tak hogaa saara pyaar vafaa tak hogaa phir ye bandhan tod na j aanaa chhod ga.e to phir na aanaa chhod diya jo teraa nahin hai chala gaya jo meraa nahin hai yaad hai pahle roz kaha tha ya to toot ke pyaar na karna ya phir peeth pe vaar na karna jab nadaani ho jaati hai nayi kahaanii ho jaati hai nayi kahaanii likh laaunga agle roz main bik jaaunga tere gul jab khil jaayenge mujh...ko paise mil jaayenge yaad hai pahle roz kaha tha bichhad ga.e to mauj udh aanaa waapas mere paas na aanaa jab koi jaakar waapas aa.e roye tadpe ya pachht aa.e main phir us..ko milta nahin hooñ saath dobara chaltaa nahin hooñ gum jaata hooñ kho jaata hooñ main patthar ka ho jaata hooñ
Khalil Ur Rehman Qamar
191 likes
ramz tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe meri tanhaaii men KHvaabon ke siva kuchh bhi nahin mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein mere kamre men kitaabon ke siva kuchh bhi nahin in kitaabon ne badaa zulm kiya hai mujh par in men ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka zindagi men kabhi aaraam nahin pa saka
Jaun Elia
216 likes
bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi
Ahmad Faraz
111 likes
More from BR SUDHAKAR
dukh mujhe jo laga vo nahin hooñ main ab us jagah to nahin hooñ tu ik call message nahin kar rahi hai ki aisi vo kya hi shikaayat hai jo mujhse tu kar nahin pa rahi hai bataati nahin hai sataati rahi hai mujhe tu bataa kyuuñ KHafaa hai mujhe tu bataa kya hua hai tu kuchh bol ye khaamoshi kaatti hai mujhe jaan le bas ye aañkhen kise roti hai bas mujhe kiska dukh hai mujhe pooch tu phir bataoon teraa naam main aur tujhe main sunaau dikhaaun meraa gam mere zakham jo bhar nahin pa rahe hain mujhe tere aise sataane ka dukh hai tere laut ke phir na aane ka dukh hai mere paas aa meraa dukh jaan ladki sakhi koi itnaa KHafaa bhi nahin hota hai jaise ki tu hai ki gussa ziyaada dino tak nahin karna hota hai samjhi e ladki ki ghalti bhulaane ke khaatir banii hai mohabbat nibhaane ke khaatir banii hai ki jab dosti kar li jaa.e use phir nibhaana bhi hota hai ladki mujhe yaad hai tu magar main bhulaaya gaya hooñ tu beshak mujhe chhod de par zaraa sun kahii bhi kabhi bhi kisi bhi haan dariyaa ne pyaase ko pyaasa nahin maara hai phir to ab tu chali aa ghadi haath ki band ho jaa.e isse ke pahle chali aa mere haath ko thaam le dost ye zindagi bay bole mujhe isse pahle tu aa aur mujhe tu gale se laga le
BR SUDHAKAR
10 likes
Ham dono ghar chal denge
BR SUDHAKAR
10 likes
uskaa chehra simple saada sa bhola chehra hai yaar qasam se vo pyaara chehra hai ped nadi ye phool sabhi chhodo us..ko dekho uskaa chehra hai duniya laakh haseen ho sakti hai lekin uskaa chehra chehra hai dekh use kah daala hamne bhi baatein pyaari hain pyaara chehra hai ik til hot pe gaal ke neeche ik aur vo chaand sa naak pe noor li.e do pyaari aañkhen aur surkh se lab pyaar milaakar apna rangon men hamne banaya uskaa chehra hai bholi soorat pe vo akad dekho ghalti karke ghumaaya chehra hai rooth gaii jo hamse kabhi vo dost sabse pahle churaaya chehra hai jab bhi us..ko choomne aa.e ham hot se pahle aaya chehra hai munh se ik vo swaad nahin jaata jabse uskaa chooma chehra hai raat ka hona uski aañkhen hain din ka nikalna uskaa chehra hai duniya men hai uske chehre se hai noor raushni laaya uskaa chehra hai ham jaise bhi dariyaa karenge paar ab jo sahaara uskaa chehra hai ham aabaad rahenge aise hi ham pe gar saaya vo chehra hai vo chehra hai bas vo chehra hai hamko bas vo chehra chehra hai hamne chaaha bas vo chehra hai hamne maanga bas vo chehra hai hamne dekha bhi to vo chehra hamne socha bas vo chehra hai
BR SUDHAKAR
12 likes
kab kab ye ped hare honge phir se kab ye kaliyaan footengi aur ye phool hasenge kab ye jharne apni pyaas bharenge kab ye nadiyaan shor machaayengi kab ye azaad ki.e jaayenge sab panchi kab jungle saansey lenge kab sab jaayenge apne ghar kab haathon se zanjeeren khuli jaayeñgi kab ham aison ko poochhega koii aur ye faqeeron ko bhi kisse men laaya jaayega kab in kaanton kii bhi qeemat hogii aur miTTi sone ke bhaav men aayegi kab logon kii ghalti taali jaayegi kab ye hawaayein paayal pahne jhoomengi kab ambar se pariyaan utarengi kab pattharon se bhi KHushboo aayegi kab hanso ke joden nadiyon pe baithege barkha geet banaayegi aur mor utha ke par kathak karte dekhe jaayenge neelkamal paani se ishq ladaayenge machliyaan khushi ke gote maarengi kab koyal kii kook sunaai degi kab bhawre phir gun gun karte lautenge mozeje men aur kab ye pyaari titliyan color fekengi phir sab kuchh dooba hogaa rangon men kab ye duniya roshan hogii kab ye jugnoo apne rang men aayenge kab ye sab mumkin hai kab sabke hi sapne poore honge kab apne man ke mutaabiq hogaa sab kuchh kab ye bahaarein lotengi kab vo taarikh aayegi bas mujh...ko hi nahin sabko intzaar hai tere birthday ka
BR SUDHAKAR
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on BR SUDHAKAR.
Similar Moods
More moods that pair well with BR SUDHAKAR's nazm.







