nazmKuch Alfaaz

ham ladke hain aaj aapko sab sach-sach bataate hain ham kis li.e itnaa muskuraate hain ham ko rona bhi aa.e to kahaan ro paate hain koi dekh na le rota hua ye soch kar dar jaate hain dard sahte hain aur apne aasuon ko pee jaate hain ham vo hain jinhen apne ashk bahaane se roka jaata hai jinhen apna dard sunaane se roka jaata hai ham vo hain jo KHud hi KHud ka mazaak banaate hain aur phir ek dooje se sach chhipaate hain ham sab kuchh kar sakte hain magar kabhi khul kar ro nahin sakte hamaara dard hamaare siva is duniya men kahaan koi samajh paata hai sukh men khul ke hanste hain aur dukh men jhooth-mooth ka muskurana aata hai ham ladke hain sahab ha men bachpan se bas yahii sikhaaya gaya hai ladke rote nahin hain ye bol-bol kar patthar dil banaya gaya hai apne man ki karne vaala is samaaj ki nazar men har ladka bura hai apne aasuon ko pee jaao doston ham ladke hain ha men rona manaa hai

Related Nazm

bhalii si ek shakl thii bhale dinon ki baat hai bhalii si ek shakl thina ye ki husn-e-taam hona dekhne men aam sina ye ki vo chale to kahkashaan si raahguzaar lage magar vo saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chhab fazaa ka rang-roop thii vo garmiyon ki chaanv thii vo sardiyon ki dhoop thii na muddaton juda rahena saath subh-o-shaam hona rishta-e-wafa pe zidna ye ki izn-e-aam ho na aisi khush-libaasiyaan ki saadgi gilaa karena itni be-takallufi ki aaina haya kare na ikhtilaat men vo ram ki bad-maza hon khwaahisheinna is qadar supurdagi ki zach karen nawaazisheinna aashiqi junoon ki ki zindagi azaab hona is qadar kathor-pan ki dosti KHaraab ho kabhi to baat bhi khafi kabhi sukoot bhi sukhun kabhi to kisht-e-zaafaran kabhi udaasiyon ka ban suna hai ek umr hai muaamalaat-e-dil ki bhi visaal-e-jan-faza to kya firaq-e-jan-gusil ki bhi so ek roz kya hua vafaa pe bahs chhid gaii main ishq ko amar kahooñ vo meri zid se chid gaii main ishq ka aseer tha vo ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko vo bad-tar-az-hawas kahe shajar hazar nahin ki ham hamesha pa-b-gil rahenna dhor hain ki rassiyaan gale men mustaqil rahen mohabbaton ki wusaaten hamaare dast-o-pa men hain bas ek dar se nisbatein sagaan-e-ba-wafa men hain main koi painting nahin ki ik fra men men rahoon vahii jo man ka meet ho usii ke prem men rahoon tumhaari soch jo bhi ho main us mizaaj ki nahin mujhe vafaa se bair hai ye baat aaj ki nahin na us ko mujh pe maan thana mujh ko us pe zoom hi jo ahd hi koi na ho to kya gham-e-shikastagi so apna apna raasta hasi-khushi badal diya vo apni raah chal padi main apni raah chal diya bhalii si ek shakl thii bhalii si us ki dosti ab us ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi

Ahmad Faraz

111 likes

bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi main jo kah doon mohabbat hai tum se to mujh ko khuda raa galat mat samajhna ki meri zaroorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hain phoolon ki daali pe baanhe tumhaari hain KHaamosh jaadu nigaahen tumhaari jo kaañte hooñ sab apne daaman men rakh luun sajaun main kaliyon se raahen tumhaari nazar se zamaane ki KHud ko bachaana kisi aur se dekho dil mat lagana ki meri amaanat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum kabhi jugnuon ki qataaron men dhoondha chamakte hue chaand-taaron men dhoondha khajaon men dhoondha bahaaron men dhoondha machalte hue aabsaaron men dhoondha haqeeqat men dekha fansaane men dekhana tum sa hañsi is zamaane dekhana duniya ki rangeen mehfil men paaya jo paaya tumhein apna hi dil men paaya ek aisi masarrat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum hai chehra tumhaara ki din hai sunhara hai chehra tumhaara ki din hai sunhara aur is par ye kaali ghataon ka pahra gulaabon se naazuk mahakta badan hai ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai bikhero jo zulfen to sharmaae baadal farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal vo paakizaa moorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum jo ban ke kali muskuraati hai akshar shab hijr men jo rulaati hai akshar jo lamhon hi lamhon men duniya badal de jo sha'ir ko de jaa.e pahluu ghazal ke chhupaana jo chahein chhupaai na jaa.e bhulaana jo chahein bhulaai na jaa.e vo pahli mohabbat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum bahut KHoob-soorat ho tum

Tahir Faraz

54 likes

mahbooba ke naam tu apni chitthiyon men meer ke ashaar likhti hai mohabbat ke bina hai zindagi bekar likhti hai tere khat to ibaarat hain wafadari ki qasmoñ se jinhen main padhte dartaa hooñ vahii har baar likhti hai tu pairokaar leila ki hai sheerin ki pujaaran hai magar tu jispe baithi hai vo sone ka singhaasan hai teri palkon ke maskaare tere honthon ki ye laali ye tere reshmi kapde ye tere kaan ki baali gale ka ye chamakta haar haathon ke tere kangan ye sab ke sab hai mere dil mere ehsaas ke dushman ki inke saamne kuchh bhi nahin hai pyaar ki qeemat wafa ka mol kya kya hai aitbaar ki qeemat shikasta kashtiyon tooti hui patwaar ki qeemat hai meri jeet se badhkar to teri haar ki qeemat haqeeqat KHoon ke aañsu tujhe rulvaayegi jaanaan tu apne faisley par baad men pachtaayegi jaanaan mere kaandhe pe chhote bhaaiyon ki zimmedaari hai mere maa baap boodhe hai behn bhi to kunvaari hai barhana mausamon ke vaar ko tu sah na paayegi haveli chhod kar tu jhopdi men rah na paayegi ameeri teri meri muflisi ko chhal nahin sakti tu nange paanv to kaaleen par chal nahin sakti

Abrar Kashif

50 likes

kyuuñ uljhe-uljhe rahte ho kuchh bolo to kuchh baat karo kya ab bhi tanhaa raatein hain kya dard hi dil bahaalate hain kyuuñ mehfil raas nahin aati kyuuñ koel geet nahin gaati kyuuñ phoolon se khushboo gum hai kyuuñ bhanwara gumsum gumsum hai in baaton ka kya matlab hai kuchh bolo to kuchh baat karo kyuuñ amma ki kam sunte ho kya bheetar-bheetar gunte ho kyuuñ hansna-rona bhool ga.e kyuuñ lakdi jaise ghunte ho kya dil ko kahii la ga.e ho kya ishq men dhoka khaaye ho kya aisa hi kuchh mas'ala hai kuchh bolo to kuchh baat karo

Raghav Ramkaran

42 likes

KHuda ka sawaal mere rab kii mujh par inaayat hui kahooñ bhi to kaise ibadat hui haqeeqat hui jaise mujh par ayaan qalam ban gaii hai KHuda kii zubaan mukhaatib hai bande se parvardigaar tu husn-e-chaman tu hi rang-e-bahaar tu men'raaj-e-fan tu hi fan ka singaar musavvir hooñ main tu meraa shaahkaar ye subhen ye shaamen ye din aur raat ye rangeen dilkash haseen qaaynaat ki hoor-o-malaika wa jannat ne kiya hai tujhe ashraf ul makhluqaat meri azmaton ka hawala hai tu tu hi raushni hai ujaala hai tu ye duniya jahaan bazm-aaraaiyaan ye mehfil ye mele ye tanhaaiyaan falak ka tujhe shaamiyaana diya zameen par tujhe aab-o-daana diya mile aabshaaron se bhi hausale pahaadon main tujhko diye raaste ye paani hawa aur ye shams-o-qamar ye mauj-e-ravaan ye kinaara bhanwar ye shaakhon pe gunche chatkate hue falak pe sitaare chamakte hue ye sabze ye phoolon bharii kyaariyaan ye panchi ye udti hui titliyan ye shola ye shabnam ye miTTi ye sang ye jharnon ke bajte hue jaltarang ye jheelon men hanste hue se kanwal ye dharti pe mausam kii likkhi ghazal ye sar dii ye garmi ye baarish ye dhoop ye chehra ye qad aur ye rang-o-roop darindon charindon pe qaabu diya tujhe bhai dekar ke baazu diya behn dii tujhe aur shareek-e-safar ye rishta ye naate gharaana ye ghar ki aulaad bhi dii diye waalidain alif laam mim qaaf aur ain ghain ye aql-o-zahaanat shu'oor-o-nazar ye bastii ye sehra ye khushki ye tar aur uspar kitaab-e-hidaayat bhi dii nabi bhi utaare shari'at bhi dii ki khabren sabhi kuchh hain tere li.e bataa kya kiya tune mere li.e

Abrar Kashif

46 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on ABhishek Parashar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with ABhishek Parashar's nazm.